Lyrics of Aaj Ke Daur Me Ae Dost Ye Manjhar Kyu Hai - आज के दौर में ऐ दोस्त ये मंजर क्यूँ है
aaj ke daur me ae dost ye manjar kyu hai

zakhm har sar pe har ik haath me patthar kyu hai

jab haqiqat hai, ki har zarre me tu rehta hai

fir zamin par kahin masjid, kahin mandir kyu hai
zakhm har sar pe har ik haath me patthar kyu hai
aaj ke daur me ae dost ye manjar kyu hai
apna anjaam to maalum hai sabko phir bhi

apni nazron me har insaan sikandar kyu hai
zakhm har sar pe har ik haath me patthar kyu hai
aaj ke daur me ae dost ye manjar kyu hai
zindagi jine ke kaabil hi nahin, ab faakir

warna har aankh me ashqo ka
samandar kyoon hai