Lyrics of Aaj Ki Raat Badi Shokh Badi Natkhat Hai (Duet) - आज की रात बड़ी शोख बड़ी नटखट है
aaj ki raat badi shokh
badi natkhat hai
aaj to tere bina
neend nahi aayegi
ab to tere hi yaha
aane kaa ye mausam hai
ab tabeeyat na khayaalo
se bahal paayegi
hai paani ki ye rimjhim
ye guledaar phuhaar
aise nas nas mein teri
chaah jagaa jaati hai
jaise pinjre mein kisi
qaid pade panchhi ko
apni aazaad udaano ki
yaad aati hai
ab to aa jaao
ab to aa jaao meri
maang ke sindoor suhaag
saans teri hai
saans teri hai tere
naam pe mit jaayegi
aaj to tere binaa
neend nahin aayegi
aisi hi raat to wo thhi
ke teri nazro ne
mujhe pahnaayaa thaa jab
pyaar ke kapdon kaa libaas
aur us raat bhi aisi hi
sharaabi thhi fizaa
jab teri baaho mein
mahki thhi meri saans-o-adaa
aur ab aisi
aur ab aisi jawaan rut
mein akeli main hu
aa jaa warna
aa jaa warnaa ye shamaa
kaanp ke bujh jaayegi
aaj to tere bina
neend nahi aayegi
aaj ki raat badi
shokh badi natkhat hai
aaj to tere bina
neend nahi aayegi
par thahar wo jo waha
par thahar wo jo waha
lete hai footpaatho par
laash bhi jinki kafan
tak na yaha paati hai
aur wo jhonpde chhat
bhi na hai sar par jinke
chhaate chhappar hi jahaan
zindagi so jaati hai
pahle in sab ke liye
pahle in sab ke liye ek
imaarat gadh lu
phir teri maang
phir teri maang sitaaro
se bhari jaayegi
aaj to tere binaa
neend nahin aayegi
aaj ki raat badi
shokh badi natkhat hai
aaj to tere bina
neend nahin aayegi
This World is Beautiful! All human beings are Beautiful! Nature has no
dearth to supply all things for the human Beings. We have to touch the root
cause of this situation. The main reason is GREED, EGO, ATTACHMENT ruling
in the Mind's of human Beings. When the Sanskars change the situation will
automatically changes. When Human Being can make Wars they can definitely
make peace in this World by giving the knowledge of how to transform them
first themselves. Om Shanti. Good Wishes to All.