aaj tera gunehgar banda
gum se ghabrake sajde me aaya
kamli wale ke sadke me ya rab
tu daal de ispe rahmat ka saya
aaj tera gunehgar banda
gum se ghabrake sajde me aaya
tu hai sabse badi shan wala
tune girte hue ko sambhala
tu hai sabse badi shan wala
tune girte hue ko sambhala
bhula bhatka hua ek musafir
bhula bhatka hua ek musafir
laut ke apni manzil pe aaya
laut ke apni manzil pe aaya
kamli wale ke sadke me ya rab
tu dal de ispe rahmat ka saya
tera insaaf apni jagah hai
ye hamesha se hota raha hai
jisne dil se pukara hai tujhko
jisne dil se pukara hai tujhko
uski bigdi ko tune banaya
uski bigdi ko tune banaya
kamli wale ke sadke me ya rab
tu daal de ispe rahmat ka saya
sun le ab tu hamari duaye
baksh de iski sari khataye
sun le ab tu meri duaye
baksh de meri sari khataye
har saza mil chuki ab karam kar
har saza mil chuki ab karam kar
isne jaisa kiya waisa paya
isne jaisa kiya waisa paya
kamli wale ke sadke me ya rab
tu daal de ispe rahmat ka saya
aaj tera gunehgar banda
gum se ghabrake sajde me aaya
kamli wale ke sadke me ya rab
tu daal de ispe rahmat ka saya
daal de ispe rahmat ka saya
daal de ispe rahmat ka saya
daal de ispe rahmat ka saya
Thanks for sharing this rare song sung by Rafi sahab, Geeta ji and an
unknown singer Shashi Raj.