beeta huwa pal kabhi gujarata nahi
wo sehma huwa sa baitha rehta hai
raste ke kisi pichle mod par
zinda uske bhi jazbat hote hai
aur kuchh arman bhi
gujar to mai jata hu kisi musafir ki tarah
aur wo bita pal wahi meri raah takta
kisi ped ki tarah
ye aawaz bhi aise hi kisi pal ki hai
jo baitha hai kahi ird gird
mere pichle manzil ke
meri jaan kahi bhi ja
meri jaan kahi bhi ja
bas sambhal ke jana bas sambhal ke jana
yahi pe khada hai ghar tera
yahi pe khada hai ghar tera
aana daubara aana daubara aana daubara
meri patharili manzil
jaha pe main ruka tha thodi der
aur socha tha ke jindagi yahi ruk jayegi
lekin shuru hona meri kismat thi
aur chalte rehna fitrat
ye album ye nagme ye isi raste mein mile
kuch khubsurat chize hai jara dekhe
inme se koyi aapki to nahi
aana daubara aana daubara aana daubara
meri jaan khin bhi jaaa. ... bas smabhal ke jaana... kya baat ahin aur
kidin sadai se unnchi baat kahin hain... badhiya. bahut badhiyaa..