aansuo ko tham le sabar se jo kam le
aafato se na dare mushkilo ko hal kare
apne man ki jis ke hath me lagam hai
aadami usi ka naam hai aadami usi ka naam hai
aadami usi ka naam hai oo ho
aansuo ko tham le sabar se jo kam le
aafato se na dare mushkilo ko hal kare
apne man ki kis ke hath me lagam hai
aadami usi ka naam hai oo ho aadami usi ka naam hai
besahara hoke bhi sahara dund le
besahara hoke bhi sahara dund le
chir ke bhawar ko jo kinara dund le
zindagi sangram hai sangram me laga rahe
phal ki aasha chhod ke jo kam me laga rahe
aaram jiske vasate sada haram hai
aadami usi ka naam hai oo ho aadami usi ka naam hai
ye zamana chahe jiske hatho me na hath de
ye zamana chahe jiske hatho me na hath de
khud hi wo chal pade agar koi na sath de
kab kise dare nahi kya kahna uski shan ke
waqt ka mukabala kare jo sina tan ke
jiski har ek sans deti pyar ka paigam hai
aadami usi ka naam hai aadami usi ka naam hai oo ho
aansuo ko tham le sabar se jo kam le
aafato se na dare mushkilo ko hal kare
apne man ki jis ke hath me lagam hai
aadami usi ka naam hai oo ho aadami usi ka naam hai