Lyrics of Aao Hujur Tumko Sitaaro Me Le Chalu - आओ हुजुर तुमको सितारों में ले चालू
hamse raushan hain chaand aur taare
ham ko daaman samjhiye ghairat ka
uth gaye ham agar zamaane se
naam mit jaayega muhabbat kaa
dil hai naazuk kali se phulo se
ye na tute khyal rakhiyega
aur agar aap se ye tut gaya
jaan-e-jaan itnaa hi samajhiyega
phir koyi baawri muhabbat ki
apni zulfe nahi sanwaregi
aarti phir kisi Kanhaiyaa ki
koi Raadhaa nahi utaaregi
aao huzur tumko sitaro mein le chalu
dil jhum jaye aisi baharo mein le chalu
aao huzur tumko sitaaro mein le chalu
dil jhum jaaye aisi, baharo mein le chalu
aao huzur aao
hamraaz hamkhayal to ho hamnazar bano
tay hoga zindagi ka safar hamsafar bano
hamraaz hamkhayal to ho hamnazar bano
tay hoga zindagi ka safar hamsafar bano
chahat ke ujle-ujle nazaro in le chalu
dil jhum jaaye aisi baharo mein le chalu
aao huzur tumko sitaaro mein le chalu
dil jhum jaaye aisi baharo mein le chalu
aao huzur aao
likh do
likh do kitaab-e-dil pe koyi, aisi dastan
jiski misaal de na sake saato aasmaan
baho mein bahe dale hazaro mein le chalu
dil jhum jaaye aisi baharo mein le chalu
aao huzur tumko sitaro mein le chalu
dil jhum jaaye aisi baharo mein le chalu
aao huzur aao
Nice song and sung so beautifully by Asha ji.10**
Yuan ji, Asha ji sang this song in her show which i attended. She told audiance that now she will sing Babita's daughter's song and she sang Karishma 's song also. Still while listening i felt, her voice is ever green youthful for both songs.With respect. Sarla.