Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Aao Logo Tumhe Sunau Apne Ghar Ki Kahani
3.00 - 1 votes
Dard Bhare Geet
Video of this song from youtube
Videos of this song are available at YouTube, however embedding of these videos is not available.

You can visit these YouTube links for videos of the song:

https://www.youtube.com/watch?v=vGXTogIzERw

https://www.youtube.com/watch?v=ceIEeciSMGk

https://www.youtube.com/watch?v=4vE4ZS4TmCE

Lyrics of Aao Logo Tumhe Sunau Apne Ghar Ki Kahani - आओ लोगो तुम्हें सुनाऊ अपने घर की कहानी
aao logo tumhe sunao apne ghar ki kahani
nangi hokar nach rahi hai desh me beimani
kahi hai dhokha kahi daga hai or kahi manmani
nangi hokar nach rahi hai desh me beimani

ek taraf seema par sankat ek taraf makkari
ek taraf seema par sankat ek taraf makkari
udhar sipahi khun bahate idhar hai chor bazari
isse badhkar ab kya hogi apne patan ki nishani
isse badhkar ab kya hogi apne patan ki nishani
nangi hokar nach rahi hai desh me beimani

kisi tarah ban jaye lakhpati inke yahi mansube
kisi tarah ban jaye lakhpati inke yahi mansube
inko apna ghar bharna desh bhale hi dube
inko apna ghar bharna desh bhale hi dube
apne purkho ki izzat par fer diya hai pani
apne purkho ki izzat par fer diya hai pani
nangi hokar nach rahi hai desh me beimani

kaha gaya wo samay ke jab the harischandar se dani
kaha gaya wo samay ke jab the harischandar se dani
kaha ram hai kaha bharat hai kaha hai sita rani
kaha ram hai kaha bharat hai kaha hai sita rani
wo bhi hindustani the or hum bhi hindustani
wo bhi hindustani the or hum bhi hindustani
nangi hokar nach rahi hai desh me beimani

suno bhayio ek tadapte dil ne tumhe pukara
suno bhayio ek tadapte dil ne tumhe pukara
aaj lagado nagar nagar me gaw gaw me nara
aaj lagado nagar nagar me gaw gaw me nara
chahe apna bap ho chahe beta apna pyara
chahe apna bap ho chahe beta apna pyara
jo bhi yaha hai desh ka dushman dushman hai wo hamara
dushman hai wo hamara dushman hai wo hamara
lyrics of song Aao Logo Tumhe Sunau Apne Ghar Ki Kahani
Comments on song "Aao Logo Tumhe Sunau Apne Ghar Ki Kahani"
Jagjit Singh Ishar on Tuesday, October 21, 2014
Superb & eye opener song.
Pradnya Kshirsagar on Monday, May 28, 2012
superb song
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Hum Kahan Ja Rahe Hain (1966)
Prakash, Neena, Nadira, Murad, Jagirdar, Abhi Bhattacharya, Jankidas, Leela MishraGeeta Dutt, Asha Bhosle, Manna Dey,Krishna Kalle, Mahendra KapoorQamar Jalalabadi, BharatiyaBasant PrakashNitin BoseHum Kahan Ja Rahe Hain at IMDB      
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type