aao sunata hu sabko aaj ek kahani
aao sunata hu sabko aaj ek kahani
shayad lage nayi tumko par hai sadiyo purani
shayad lage nayi tumko par hai sadiyo purani
aao sunata hu sabko aaj ek kahani
shayad lage nayi tumko, par hai sadiyo purani
aao sunata hu sabko aaj ek kahani
kaise jab nandine ma parvati ka na mana aadesh
toh mane phir kaise banaya apna ganesh
apna bal ganesh, apna bal ganesh
kaun sa aadesh kaise bana ganesh kya huwa
sab batata hu pehle sare bolo
om ganeshay namah, om ganeshay namah
om ganeshay namah, om ganeshay namah
om ganeshay namah, om ganeshay namah
om ganeshay namah, om ganeshay namah
om ganeshay namah, om ganeshay namah
maa parwati jab jati thi nahane toh nandi karta peheredari
sabko tha woh rok leta par chup rehta shiv ki jab aaye sawari
shiv jo chale aaye andar, parvati huyi behad naraj
par nandi tha ved shiv kaa unake aage bilkul be awaz
phir kya huwa, parwati ke mann me ek chah uthi
kash koyi hota mera jise mai karti pyar
jo manta meri har ek bat, mujhpe ho jata nisar
kyun na mai khud hi banau use dil ka ho ik tukda
mere hi jaisa ho uska rang, mere hi jaisa ho mukhada
ganesh ha
phir parvati ne gana aur racha ik balak vishesh
apne mail se banaya apna pyara ganesh
achchhi kahani hai par kuchh toh gadbad ghotala hai bhai
maa parvati ne kya aisi thi balak ki surat banayi
na sund, na kaan hathi ke kaisa hai iss balak kaa bhes
hai yeh nahi, hai yeh nahi, hai yeh nahi hamara ganesh
bal ganesh ko hathi kaa muh kaise mila
woh ek aur kahani hai phir kabhi sunau
aaj suni hai ham sab ne badhiya ek kahani
lagti hai jo nayi nayi par hai sadiyo purani
aao sunata hu sabko aaj ek kahani
aao sunata hu sabko aaj ek kahani
shayad lage nayi tumko par hai sadiyo purani
aao sunata hu sabko aaj ek kahani