aati hai mere samne aanchal ko taankar
deti hai mujhko sharbate didar chhankar
ae ji didar chhankar
tum ghurte ho is tarah kya mujhko jaankar
aaya na karo aaj se mere makan par
aji mere makan par, accha waah
kabhi hansi, kabhi jhdak, naram kabhi, kabhi kadak
tujhse ye dil gaya fadak aaja kahe dhadak dhadak
maine kaha hosh karo hato chalo sidhi sadak
hato chalo sidhi sadak
pahuncha hai kyu mijaj tera aasman par
aati hai mere samne aanchal ko taankar
ae ji aanchal ko taankar
main jo kahu kyu hai khafa
kuch to bata meri khata
kahti hai tu dur dafa ye hai bhala koi ada
tune mujhe pyar kiya iski tujhe di hai saza
iski tujhe di hai saza
ye jaan meri husn pe itna na maan kar
aati hai mere samne aanchal ko taankar
ae ji aanchal ko taankar
kaat liye humne chile
mil hi gaye gham ke sile
pyar bhare do dil mile
khatam huye sare gile
kat hi gayi raah kadi
par na mere kadam hile
nikhar gaya dil ka chaman
rang bhare phul khile
ab to na satayegi mujhko jaan jaan kar
aati hai mere samne aanchal ko taankar
ae ji aanchal ko taankar
mujhko kabhi na bhulega tu ye jaban kar
aaya karega roj hi mere makan par
aji mere makan par
are waah waah