aawaaz de ke humein tum bulaao
mohabbat mein itanaa, naa hum ko sataao
abhee to meree zindagee hai pareshaan
kaheen mar ke ho khaak bhee naa pareshaan
diye kee tarah se naa hum ko jalaao
mohabbat mein itanaa, naa hum ko sataao
main saanson ke har taar mein chhup rahaa hoon
main dhadakan ke har raag mein bas rahaa hoon
zaraa dil kee jaanib nigaahein jhookaao
mohabbat mein itanaa, naa hum ko sataao
na honge agar hum to rote rahoge
sadaa dil kaa daaman bhigote rahoge
jo tum par mitaa ho, use naa mitaao
mohabbat mein itanaa, naa hum ko sataao
aawaaz de ke humein tum bulaao
mohabbat mein itanaa, naa hum ko sataao
Nothing is certain in life. If there is one thing which is certain, time
gone never comes back again. Its amazing how people used to refer to Rafi
saab as Brother Rafi. Then it was Chacha Rafi. Now it is Dada Rafi. But the
song is the same. Beautiful. Cannot be recreated. Lata, Rafi, SJ all greats.