aaya ri kaun sakhi apni nagariya
apni nagariya, apni nagariya
prano me baaj rahi mithi basuriya
mithi basuriya, mithi basuriya
padte hi paanv sakhi dharti pe salone
chhalki umang bhari man ki gagariya
man ki gagariya
o jivan ke angna satha jhulna
jhule hai krishan kanhayi, jhule hai krishan kanhayi
jivan ke angna satha jhulna
jhule hai krishan kanhayi, jhule hai krishan kanhayi
baanto badhayi baanto baanto badhayi
aaye krishan kanhayi, aaye krishan kanhayi
suraj ka tej laya naino me bharke
sudh budh gayi main bhuli dekho tadke
maya hasin koi naya rup dharke
mukh par chand khila nain agwarke
dukh ke utarne dharti sanwarne
jyoti nayi jagmagayi
jhule hai krishan kanhayi
jivan ke angnath sath sath jhulna
jhule hai krishan kanhayi, jhule hai krishan kanhayi
baanto badhayi baanto baanto badhayi
aaye krishan kanhayi, aaye krishan kanhayi
baadal ka rang liye paras ka tan hai
bali bali jaye sakhi banka man hai
gyani ka gyan layi sawan ki rain hai
bad bad jhum sakhi ye to rain hai
jyoti ye karam ka deepak hai dhram ka
vedo ki hai ye sacchai
jhule hai krishan kanhayi
baanto badhayi baanto baanto badhayi
aaye krishan kanhayi, aaye krishan kanhayi