ab rone se kya faayda
kyun sehra mein barsa kare
ab rone se kya faayda
kyun sehra mein barsa kare
pal do pal mein honge juda
pal do pal mein honge juda
chal hanske hum do baat kare
ab rone se kya faayda
kyun sehra mein barsa kare
dil ne to dekha tha sapna
hatho mein ye hath rahenge
kaise bhi hum na honge juda
sadiyo tak hum saath rahenge
chaand hi kismat mein na ho
chaand hi kismat mein na ho
hum kaise ujli raat kare
ab rone se kya faayda
kyun sehra mein barsa kare
kal murjha jaayega lekin
yaado mein chehra ye khilega
sapno mein shehnai bajegi
sajni se saajan bhi milega
sach hona inka mumkin nahin
sach hona inka mumkin nahin
phir kyun in sapno ki baat kare
ab rone se kya faayda
kyun sehra mein barsa kare
pal do pal mein honge juda
pal do pal mein honge juda
chal hanske hum do baat kare
ab rone se kya faayda
kyun sehra mein barsa kare
waw manish dear nice sharing. ye meri fvrt ghazal hai.bari mushkil se mili
hai aur aap 1st admi ho jis ne ye youtube pe share ki hai. manish dear isi
album mei aik aur ghazal thi. singer. wasi raza. title. yahan haal ye hai
ke ankhon mei dam hai. magar tum na aana tumhen bhi qasam hai. pls manish
dear wo ghazal aap agar mujhe mail kar den ya youtube pe upload kar den to
bohat hi acha hoga. maine bohat talash ki lekin ye ghazal nahi mili. mujhe
intezar rahe ga. mya God bless u. take care bye.