aye chand
aye chand na itrana
aye chand na itrana, aate hai mere sajan
aate hai mere sajan, sajan
aate hai mere sajan
sajan se chhip jana
aye chand na itrana
tu tera gora badan, mere bhole sajan
saajan se na baaji lagana
kaun sundar hai bol mere pritam piya tu
hai humko yahi aazmana
aye chand na itrana
sun apni kahani meri jabani
apni kahani meri jabani
isko na tum bhul jana
jab ishwar ne dono ka karne vajan
jab ishwar ne dono ka karne vajan
do palde me dono ko dala
ek palde me tu duje me sajan
ek palde me tu duje me sajan
taraju ko jyuhi uthaya
taraju ko jyuhi uthaya
jo halka tha wo uth gaya upar
jo halka tha wo uth gaya upar
jo bhari tha wo niche aaya
ha jo bhari tha wo niche aaya
wo mera hai chand, sundar hai chand
wo mera hai chand, tu jo sundar hai chand
tu man hi me na bhul jana
aye chand na itrana
aate hai mere sajan, sajan
aate hai mere sajan
sajan se chhip jana
Man Ki Jeet {1944}: Shyam, Neena, Tiwari. Prakash, Gulab, Rajkumari Shukla,
Anwar Husain, Shobhna Samarth
Singers: Sitara Devi Kanpuri, Zohrabai Ambalewali, Tarabai, Shyam, Rajkumari
Lyrics: Josh Malihabadi
Music By: Gyan Dutt & S.K.Pal
Produced By: Shalimar Pictures
Directed By: W.Z.Ahmed