ae dil tere mukaddar ka aaj faisla hoga
hum honge aur mahfil me husn ka khuda hoga
ae dil tere mukaddar ka aaj faisla hoga
baaj aaiye shararat se dekhiye bura hoga
agar humne kah diya kuch to aapko gila hoga
aapko gila hoga meri jaan
baaj aaiye shararat se dekhiye bura hoga
hum gum-e-ishq se jo ghabraaye
mahfile naaj me chale aaye
hum chale aaye
aapki berukhi ko kya kahiye
dil ki deewangi ko kya kahiye
aapki bhi hasi ko kya kahiye
aapki bhi hasi ko kya kahiye
mastaani aankho ke masti bhare hai jo paimaane paimaane
ha paimaaneo ji paimaane, ha paimaane ae ji paimaane
ha paimaane ae ji paimaane
uff ye ada hai ya nasha ye mai aaj bhi na jaana
dard had se bade to kya kije aaj itna hume bata dije
aaj itna hume bata dije
kya umar bhar wafaao ka dard hi sila hoga
baaj aaiye shararat se dekhiye bura hoga
aap hi nahi ek saudaai laakho hai humaare sahdaayi
hasi chaal ki taal pe jhumta hai
humare kadam aasma chumta hai
aap hi nahi ek saudaai laakho hai humaare sahdaayi
hum jo najre chhupaake sharmaaye
chaand taaro ke dil dhadak jaaye
sholo se shole bujhaane chale hai
ye parwaane parwaane ye ji deewane
ha parwaane ye ji deewane ho parwaane ye ji deewane
ha parwaane ye ji deewane
shamma ki aarju me marte hai
maut ke din shumaar karte hai
maut ke din shumaar karte hai
daaman me aag bharne se, faayada bhi kya hoga
ae dil tere mukaddar ka aaj faisla hoga
baaj aaiye shararat se dekhiye bura hoga
agar humne kah diya kuch to aapko gila hoga
aaj faisla hoga, dekhiye bura hoga
ae dil tere mukaddar ka aaj faisla hoga
hum honge aur mahfil me husn ka khuda hoga