aye mere watan ke logo tum khub laga lo naara
ye shub din hai hum sabka lehralo tiranga pyara
par mat bhulo seema par veero ne pran gawaye
kuch yaad unhe bhi karlo
kuch yaad unhe bhi karlo jo lout ke ghar naa aaye
jo lout ke gar na aaye
aye mere watan ke logo zara aankh me bhar lo pani
jo shahid huye hai unke zara yaad karo kurbaani
aye mere watan ke logo zara aankh me bhar lo pani
jo shahid huye hai unke zara yaad karo kurbaani
tum bhul naa jao unko isliye suno ye kahani
jo shashid huye hai unki zara yaad karo kurbaani
jab ghayal hua himalye khatre me padi aazadi
jab tak thi saans lade wo
jab tak thi saans lade wo phir apni lash bicha di
sangit pe dharkar matha so gaye amar balidani
jo shahid huye hai unki zara yaad karo kurbaani
koi sikh koi jaat martha koi sikh koi jaat martha
koi gurkha koi madrasis koi gurkha koi madrasis
sharhad par marne wala
sharhad par marne wala har veer tha bhartwasi
jo khun gira parwat par wo khun tha hindustaani
jo shahid huye hai unki zara yaad karo kurbaani
thi khun se lath path kaya phir bhi bandook uthake
das das ko ek ne maara phir gir gaye hosh gawa ke
jab ant samye aaya to
jab ant samye aaya to kahe gaye ki ab marte hai
khush rehna desh ke pyaro
khush rehna desh ke pyaro ab hum to safar karte hai
kya log the wo deewane kya log the wo abhimani
jo shahid huye hai unki zara yaad karo kurbaani
aye mere watan ke logo zara aankh me bhar lo pani
jo shahid huye hai unke zara yaad karo kurbaani
tum bhul naa jao unko isliye suno ye kahani
jo shashid huye hai unki zara yaad karo kurbaani
jay hind jay hind
jay hind ki sena
jay hind jay hind
jay hind ki sena
jay hind jay hind
jay hind ki sena
jay hind jay hind
Reminds me of my childhood.. it used to play during Rangoli hour on
Sunday.. i still remember the lyrics :)