agar yakin nahin aata to aazmaye mujhe
agar yakin nahin aata to aazmaye mujhe
wo aaina hain to phir aaina dikhaye mujhe
agar yakin
ajab charag hu din raat jalta rahta hu
ajab charag hu din raat jalta rahta hu
main thak gaya hu
hawa se kaho bujhaye mujhe
main thak gaya hu
hawa se kaho bujhaye mujhe
wo aaina hain to phir aaina dikhaye mujhe
agar yakin
bahot dino se main
in pattharo main patthar hu
bahot dino se main
in pattharo main patthar hu
koi to aaye zara der to rulaye mujhe
koi to aaye zara der to rulaye mujhe
wo aaina hain to phir aaina dikhaye mujhe
agar yakin
main chahata hu ke tumhi mujhe ijajat do
main chahata hu ke tumhi mujhe ijajat do
tumhari tarah se koi gale lagaye mujhe
tumhari tarah se koi gale lagaye mujhe
wo aaina hain to phir aaina dikhaye mujhe
agar yakin nahin aata to aazmaye mujhe
agar yakin
ghazal main ab iska saani koye naheen