ajab ek pagal si ladki hai
ajab ek pagal si ladki hai
mujhe har khat mein likhati hai
batao tum mujhe pehle ke
jaise pyaar karte ho
tumhe har waqt kya
kabhi meri yade satati hai
nazaron mein tumhe dikhati hain
kya parchhaiya meri
tumhe kya shaam ko
abhi meri baahein bulaati hai
ajab ek pagal si ladki hai
tumhaari aankh mein chhup kar kya
mera khwaab rehta hai
tumhara dil abhi tak
kya meri khatir dhadkta hai
tumhein khamosiyo me
kya meri aawaaz aati hai
andheron me abhi tak kya
mera chehra chamkta hai
ajab ek pagal si ladki hai
main kehta hu main uljha hu
ghum e duniya me kuch aisa
na ab wo dil hi baaki hai
na ab wo dhadkane baaki
sheher se shaam tak
jeevan mein itna shor rehta hai
na wo khamoshiya baaki
na ab wo aahate baaki
main chahun bhi to tumko
yaad karne ki nahi fursat
bada mashruf hai har pal kaha
milati hai ye mohalat
wo phir se puchhati hai
kyaa bhula dala mujhe tumne
wo ek maasum saa rishta
jala daala usse tumne
ajab ek pagal si ladki hai
main kehta hu jahaan ki aag me
sab kuchh jala lekin
tumhara khwab aankhon me
pada hai adhjala lekin
main tumko bhul jaane ka yakeen
khud ko dilata hoon
tumhare bin bhi hu zinda
yahi sab ko batata hu
magar aankhon mein rehta hai
tumhare naam ka aansu
har ek mehfil mein yun to
main hamesa khil khilata hoon
ajab ek pagal si ladki hai
mere dil ke har ek kone mein
ab tak tu dhadkti hai
koi bhi phool dekhun main to
usme tu mehkti hai
tere hi khwaab ke jugnu
mere palkon pe aate hai
teri hi yaad raato mein
sitaaron si chamkti hai
hai jinko tajurba ulfat ka
wo humko batate hai
jinhe hum bhul na chahein
wo aksar yaad aate hai
hunar yun to zamane mein
mujhe kyaa kuch nahi aaya
tumhein main bhul jaaun
bas yahin jaadu nahi aaya
tumhein main bhul jaaun
bas yahi jaadu nahi aaya
Main kehta hoon jahaan ki aag mein sab kuch jala lekin
Tumhara khwaab aankhon mein pada hai adh jala lekin
Main tumko bhool jaane ka yakeen khud ko dilaata hoon
Tumhare bin bhi hoon zinda yahin sab ko batata hoon
Ajab Ek Pagal Si Ladki Hai,
Bahut hee khusoos bhara bayan Sahaab Saahab (सहाब साहब)!