phulo me jo khushbu hai kaise woh aati hai ajuba
titli kahan se ye sare rang lati hai ajuba
hawa ko basuri banati hai sangit kaise ajuba
koyal ne sekhe hai itne pyare geet ajuba
hai ye ajube lekin ek aur ajuba hai
dharti se amber se parvat se sagar se
humne suna pyar ajuba hai
pehli nazar me hi jo dilo me ho
har wah karar ajuba hai
phulo se jo khushbu aaye ajuba
titli se sare rang lati hai ajuba
basuri ka yah sangit ajuba hai
koyal jo gate hai geet ajuba hai
dali me mehak hoti hi nahi
kaliyon me mehak aa jati hai
yah bhi ajuba hi hai
sagar se ghata jo uthti hai
mitha pani barsti hai
yah bhi ajuba hi hai
gangal me jugnuo ko dekho to yah socho
yah roshni is me aayi kaise
tan me jo hai jaan wah kis tarah hai
man me arman wah kis tarah hai
keh bhi do yah bhi to koi ajuba hai
dharti se amber se parvat se sagar se
humne suna pyar ajuba hai
pehli nazar me hi jo dilo me hai
har woh karar ajuba hai
phulo se jo khushbu aaye ajuba
titli se sare rang lati hai ajuba
basuri ka yah sangit ajuba hai
koyal jo gate hai geet ajuba hai
yah bhi heran hai geet ajuba hai
ajuba ajuba ajuba ajuba
kehne ko saat ajube hai
par shayad log yah bhule hai
ek or ajuba bhi hai
reshm reshm chandan chandan
tera mehka mehka yah badan
koi ajuba hi hai
aankho ke neel darpan
hontho ka yah bhigapan
yah rup tera ajuba hi to hai
bahon ki garmi yah bhi ajuba hain
hatho ki nami yah bhi ajuba hai
yah chaman sa badan koi ajuba hai
dharti se amber se parvat se sagar se
humne suna pyar ajuba hai
pehli nazar me hi jo dilo me hai
har woh karar ajuba hai
phulo se jo khushbu aaye ajuba
titli se sare rang lati hai ajuba
basuri ka yah sangit ajuba hai
koyal jo gate hai geet ajuba hai
yah bhi heran hai jis pe tum woh ajuba ho