Video of this song from youtube
Lyrics of Alam Par Alam Sitam Par Sitam - आलम पर आलम, सितम पर सितम
alam par alam, sitam par sitam
hum uthaye huye hai
alam par alam, sitam par sitam
hum uthaye huye hai
zamane ki gardish ke pise huye hai
zamane ki gardish ke pise huye hai
muqaddar ke hatho mitaye huye hai
alam par alam, sitam par sitam
hum uthaye huye hai

na humdam hai koyi na dumsaaz koyi
na humdard koyi na humraaz koyi
faqat sath hai ik musibat humare
faqat sath hai ik musibat humare
kaleje se us ko lagaye huye hai
kaleje se us ko lagaye huye hai
alam par alam, sitam par sitam
hum uthaye huye hai

hai kismat jo ulti, samajh bhi hai ulti
nigah bhi hai uati har ik baat ulti
najar aati hai dushmani dosti me
najar aati hai dushmani dosti me
jaha bhar ko dushman banaye huye hai
jaha bhar ko dushman banaye huye hai
alam par alam, sitam par sitam
hum uthaye huye hai
lyrics of song Alam Par Alam Sitam Par Sitam
Comments on song "Alam Par Alam Sitam Par Sitam"
lovehumanity on Sunday, January 06, 2008
kya baat hay.. Sajjad Hussain ka aik aik note..so pure..so unique.. kisi
aur say match nahi karay ga..apni alag tune hogi..us par voice of Real Noor
Jehan :) noorun alaa noor. thanx a lot Pa Ji.
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Dost (1944)
Noor JehanShams LakhnaviSajjad HussainDost at IMDB      
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type