allah hi allah, maula hi maula
allah hi allah hu
allah hi allah, maula hi maula
allah hi allah hu
allah hi allah, maula hi maula
allah hi allah hu
kya kare tujhse fariyad hum ae khuda
kya kare tujhse fariyad hum ae khuda
tujhko sab hai pata, tujhko sab hai pata
teri najro se, teri najro se
o teri najro se kuch bhi nahi chhupa
tujhko sab hai pata, tujhko sab hai pata
kya kare tujhse fariyad hum ae khuda
har taraf thokre, uljhane, gham hi gham
tu hi batla jeeye ya ke mar jaye hum
haal-e-dil jaan ke bhi, tu anjaan hai
haal-e-dil jaan ke bhi, tu anjaan hai
kya humari tarah tu bhi insaan hai
o kiski taqdeer me jane kya hai likha
tujhko sab hai pata, tujhko sab hai pata
kya kare tujhse fariyad hum ae khuda
tere gham aur khushi log sah lete hai
tu jo de usko taqdeer kah lete hai
sapne, dil duniya bhar ko dikhate nahi
sapne, dil duniya bhar ko dikhate nahi
daastane alam bhi sunate nahi
jinme himmat na ho unko na aazma
tujhko sab hai pata, tujhko sab hai pata
kya kare tujhse fariyad hum ae khuda
dil dare kisliye maut ke naam se
bekhabar kaun hai apne anjaam se
auro ke vaaste log mar jate hai
auro ke vaaste log mar jate hai
ye bhalayi bhi insaan kar jate hai
kaun soche bura kya hai, aur kya bhala
tujhko sab hai pata, tujhko sab hai pata
kya kare tujhse fariyad hum ae khuda
tere bande yaha is tarah jinda hai
jaise khud apne jeene pe sharminda hai
kisko maalum tha ye ghadi aayegi
zindagi jism pe bojh ban jayegi
zindagi jism pe bojh ban jayegi
log karte hai kyu maut ka faisla
tujhko sab hai pata, tujhko sab hai pata
kya kare tujhse fariyad hum ae khuda
tujhko sab hai pata, tujhko sab hai pata
allah hi allah, maula hi maula
allah hi allah hu
allah hi allah, maula hi maula
allah hi allah hu
allah hi allah, maula hi maula
allah hi allah hu
allah hi allah, maula hi maula
allah hi allah hu
allah hi allah, maula hi maula
allah hi allah hu
allah hi allah, maula hi maula
allah hi allah hu