andhe khawabo ko oo
andhe khawabo ko usoolon ka tarazu dede
andhe khawabo ko usoolon ka tarazu dede
mere malik
mere maalik mujhe jazbaat pe kaabu dede
mere maalik mujhe jazbaat pe kaabu dede
andhe khawabo ko usoolon ka tarazu dede
andhe khawabo ko
main samandar bhi kisi gair ke hatho se na lu
main samandar bhi kisi gair ke hatho se na lu
ek katraa bhi
ho ek katraa bhi samandar hai agar tu dede
ek katraa bhi samandar hai agar tu dede
mere maalik mujhe jazbaat pe kaabu dede
andhe khawabo ko usoolon ka tarazu dede
andhe khawabo ko
sabke dukh dard simat jaye mere sine me
sabke dukh dard simat jaye mere sine me
baant de sabko hansi
baant de sabko hansi la mujhe aansu dede
baant de sabko hansi la mujhe aansu dede
mere maalik mujhe jazbaat pe kaabu dede
andhe khawabo ko
man ke phulo ki mahak mujhko jagane aaye
man ke phulo ki mahak mujhko jagane aaye
subah ki pehali
ho subah ki pehali kiran ko koi ghunghru dede
subah ki pehali kiran ko koi ghunghru dede
mere maalik mujhe jazbaat pe kaabu dede
mere maalik
mere maalik mujhe jazbaat pe kaabu dede
andhe khawabo ko usoolon ka tarazu dede
andhe khawabo ko
Amazing have no other words to express lata at her best