apne hatho ko pahchan
apne hatho ko pahchan
murkh inme hai bhagwan
mujh par tujh par sab par hi par
in do hatho ka ahsan
apne hatho ko pahchan
hath uthate hai jo kisan
parwat kat girate hai
badhte chadhte pani me
bandh ke band dikhate hai
jungle se kheto ki taraf
mod ke dariya late hai
apne hatho ko pahchan
mutthi bhar dana lekar
ye to jami me bikharaye
jitne tare chamakte hai
utne hi podhe ug aaye
bhukh jaha tak dekh sake
khet waha tak lahraye
apne hatho ko pahchan
tune gade eeto se
hatho ka hai yarana
rakhe ninv ye dharti me
chhat ko gagan de najrana
basta jaye shahar naya
sajta jaye virana
apne hatho ko pahchan
chheni aur hathodi ka
khel agar ye dikhlaye
ubhre chehre pathar me
devi devta muskaye
chamke damke taj mahal
taj mahal taj mahal
chand sitare sharmaye
apne hatho ko pahchan
chak chale in hatho pe
pahiya jaise jiwan ka
aankh jhapakte lag jaye
mela kore bartan ka
hatho ke chulhe me se
sona banta hai jewar
rup ko chamka dete hai
kangan jhumke aur jewar
been, sarangi, tabla, dhol
sab kuch hath banate hai
taro me aawaz kaha
hath hamare gate hai
Great Mohammed Rafi Sahab in film -- "Apna Haath Jagannath". This song
comes so many times in " Bhoole Bisre Geet " . Listen the Rafi Sahab's
voice high quality in this song . In last para, his voice is going on high
peak & it was the perfectness of Rafi Sahab's voice. This song encourage us
that we have to believe on our two hands. There is a best message in this
song . Uncomparable voice . from: Prince Lalit Bhambhani Atlanta, Georgia (
USA )