apne rath ko rok le
he suraj bhagwaan
teri pehli kiran me
mere pati ke praan
suraj devta aaj ke din mat ugiyo
suraj devta aaj ke din mat ugiyo
tumhe saugandh hai mere suhaaj ki
suraj devta aaj ke din mat ugiyo
duniya ke waaste hoga sawera
mere liye hoga andhera
hote hi bhor ud jaayega panchhi
ujdega mera basera
suraj devta aaj ke din mat ugiyo
suraj devta aaj ke din mat ugiyo
purab ki laali jo dikhti hai dur
bikhra hua hai meri maang ka sindur
purab ki laali jo dikhti hai dur
bikhra hua hai meri maang ka sindur
anhoni na hoye, suhagan na roye
bas itni si meri pukaar re
suraj devta aaj ke din mat ugiyo
suraj devta aaj ke din mat ugiyo
jiwan maut ka sawaal tere saamne
ek sati aai rath tera thaame
teen triloki me tu jo mahaan hai
apne satipan pe mujhko gumaan hai
mujhko bhi maan hai
aankho ka jal teri jyoti dubayega
aaho ka badal tujhko chhupayega, tujhko chhupayega
chhup ja din ke devta
chhup ja din ke devta
chhup ja din ke devta
ha devta, ha devta
tumhe saugandh hai mere suhaag ki
suraj devta aaj ke din mat ugiyo
suraj devta aaj ke din mat ugiyo
suraj devta aaj ke din mat ugiyo