Lyrics of Apni Marzi Se Kaha Apne Safar Ke Ham Hai - अपनी मर्जी से कहा अपने सफर के हम है
apni marzi se kaha apni safar ke hum hai

rukh hawaao ka jidhar ka hai udhar ke hum hai
pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai

apne hi ghar mein kisi doosre ghar ke hum hai
apne hi ghar me kisi doosre ghar ke hum hai
rukh hawaao ka jidhar ka hai udhar ke hum hai
apni marzi se kaha apni safar ke hum hai
waqt ke saath mitti ka safar sadiyo se
waqt ke saath mitti ka safar sadiyo se
kisko maalum kaha ke hai kidhar ke hum hai
kisko maalum kaha ke hai kidhar ke hum hai
rukh hawaao ka jidhar ka hai udhar ke hum hai
apni marzi se kaha apni safar ke hum hai
chalte rehte hai ke chalna hai musafir ka naseeb

sochte rehte hai kis raah guzar ke hum hai
sochte rehte hai kis raah guzar ke hum hai
rukh hawaao ka jidhar ka hai udhar ke hum hai
apni marzi se kaha apni safar ke hum hai
my favourite gazal,thanks for uploading,,Nida fazil lyrics is wonderful & Jagjit singhji sang so nicely,,,missing Jagjit singhji.