hum mein taaqat bar balshaali
yahan ke raaj kumaar, naam hain arjun
bali mein hum shakti ke avtaar
dhanush baan ho ya apne hatho mein ho talvaar
nahin chukata kabhi nishana karte hain jab vaar
seedhe sadhe bande hain hum
bheem hamara naam
hum to bhai apne kaam se hi rakhte hain kaam
dholakpur ke vasi hain hum pahle nahin jhagadte
kartein kaam taamam jo aake hamse yaha akadtein
jwalamukhin hain hum sahas ke agni hain barsate
jo bhi humko lalkaarein hum usko maar giraate
thahar na paaya koi ran mein kabhi hamare aage
jo bhi aaye saare hi maidaan chhod ke bhaage
sau hathi ke jaisi taaqat chaal hain shero jaisi
ek vaar mein hi kar dete sab ki aisi taisi
mauka aane par dikha layenge hum tumhe kamaal
paanv pataktein jo dharti pe hiil jaaye paatal
chhote munh se badi badi baat ye toh sab karte hai
hum mein itna dum hain ki hum maut se bhi ladte hai
seena dekh vishaal hamara parvat bhi ghabharaye
thar thar kaape jo bhule se bhi humse takraye
samane wala hi harega hota nahi hamesa
apne seene mein bhi hain sher sa bada kaleja
abhimani ka sar to nicha to hona hi hona
haslo haslo baad mein to bas rona hi rona
hamse takrane ki himmat hain to phir takrao
baate chhodo dum kitna hain ab hamko dikhlao
bheem tumhare jaise hamne dekhe lakh hazar
seh na paaye jo chhota sa ek hamara baar
kuchh bhi karlo chalne na denge hum koi scheme
kaan khol kar sunlo hum hai dholakpur ke bheem
bheem bheem bheem
chhota bheem chhota bheem
dholakpur ka bheem
chhota bheem chhota bheem
bheem bheem bheem bheem chhota bheem
bheem bheem bheem bheem
chhota bheem chhota bheem
dholakpur ka bheem
chhota bheem chhota bheem
When Is This Movie Releasing ? I Love It's First Look, And I'm Sure The
Green Gold Animation Editors Have Created A Wonder As Usual !