Video of this song from youtube
Lyrics of Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya - औरत ने जन्म दिया मर्दों को, मर्दों ने उसे बाज़ार दिया
aurat ne janam diya mardo ko , mardo ne use bazar diya
jab ji chaha masla kuchla, jab ji chaha dutkar diya
aurat ne janam diya mardo ko

tulati hai kahi dinaro me, bikti hai kahi bazaro me
nangi nachavai jati hai, aiyyasho ke darbaro me
ye vo beizzat chiz hai jo, bat jati hai izzatdaro me
aurat ne janam diya mardo ko

mardo ke liye har zulm rava, aurat ke liye rona bhi khata
mardo ke liye lakho seje, aurat ke liye bas ek chita
mardo ke liye har aish ka haq, aurat ke liye jina bhi saza
aurat ne janam diya mardo ko

jin hotho ne inko pyar kiya, un hotho ka vyapar kiya
jis kokh me inka jism dhala, us kokh ka karobar kiya
jis tan se uge kopal ban kar, us tan ko zalil-o-khar kiya
aurat ne janam diya mardo ko

mardo ne banayi jo rasme, unko haq ka farmaan kaha
aurat ke zinda jalne ko, kurbani aur balidaan kaha
kismat ke badle roti di, usko bhi ehsaan kaha
aurat ne janam diya mardo ko

sansaar ki har ek besharmi, gurbat ki god me palti hai
chaklo me hi aa ke rukati hai, faako se jo raah nikalti hai
mardo ki havas hai jo aksar, aurat ke paap me dhalti hai
aurat ne janam diya mardo ko

aurat sansaar ki qismat hai, fir bhi taqdir ki heti hai
avatar payambar janati hai, phir bhi shaitan ki beti hai
ye vo badaqismat maa hai jo, beto ki sez pe leti hai
aurat ne janam diya mardo ko
aurat ne janam diya mardo ko, mardo ne use bazar diya
jab ji chaha masla kuchla, jab ji chaha dutkar diya
aurat ne janam diya mardo ko
lyrics of song Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya
Comments on song "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya"
Jagjit Singh Ishar on Sunday, June 10, 2012
Wonderful lyrics composition by Sahir & N Dutta respectively. Very very
meaningful & didactic lyrics. The only heaven on earth is due to the
existence of women. A child in mothers lap, love of sister & her best
wishes for brothers, love of a daughter for parents , the beloved or a
wifes dedication & love for her partner all are different forms of the
affection & chaste love of the women folk. A women has to be respected &
given due reverence.
ANU VIKSHAT on Saturday, May 26, 2012
SAHIR LUDHYANVI JI ke yeh NAGME ( 1 ): Aurat ne janam diya mardo ko FILM
SADHNA ( 2):Log aurat ko sirf jism samaj lete hai rooh bhi hoti hai us me
kahn jante hai FILM INSAAF KA TARAZU (3) Jinhe naaz hai hind par vo kahan
hai FILM PYASA hume batate hai ki insaan ko aurto ki Izzat karna aana
chahiye.Sachchi Khushi kisi aurat ko pa lene me nahi hai usko khush rakhne
me hai.
ANU VIKSHAT on Friday, November 23, 2012
Great Sahir Ludhyanvi..Aurat ne janam diya mardo ko mardo ne use bazaar
diya.Sahir Ludhiyanvi also wrote in Insaaf ka tarazu..Log aurat ko
sirf jism samajh lete hai.rooh bhi kahan hoti hai yeh jante hai.what
a great thought indeed.Salute to Sahir ji.
NANDI KHANNA on Friday, January 07, 2011
MD.ABDUL HAYEE aka SAHIR LUDHIYANVI always felt pain for exploited women as
we see in this song.he also wrote MADAD CHAHATI HAI YE HAWWA KI
BETI,YASHODHA KI HUMJINS RADHA KI BETI,PAYAMBER KI UMMAT ZULAIKHA KI
BETI.JINHE NAAZ HAI HIND PAR WOH KAHAN HAI.
rumahale on Tuesday, September 28, 2010
Great song.. while most of us attribute the success to the singer and the
music director (I too give credit to them), one should not forget the
contribution of lyricists - here comes my favourite Poet Sahir Ludhianvi
with flying colours. Thanks.
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Sadhna (1958)
Sunil Dutt, Vyjayantimala, Alhad Radha Krishnan, Nandini, Manmohan, Ravikant, Leela ChitnisAsha Bhosle, Balbir, Geeta Dutt, Lata Mangeshkar, Mohammed RafiSahir LudhianviN DuttaB R ChopraB R ChopraSadhna at IMDB      Sadhna at WikipediaSadhna at YouTube     |    Sadhna at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type