auro ki ankhiya jane na jane
jan gai aankhiya mori
hukum ke aage chalegi nahi
bhagwan tumhari chori
lakh chalaki kare chandrma
par khayegi na dhokha chakori
hukum ke aage chalegi nahi
bhagwan tumhari chori
chhup chhup ke aana baate banana
bole dilo ko bharmana
isme nayi baat kya hai prabhu
ye to hai natak purana
thakum nahi ye thaku
yeh hai vidhya thakur ji
chod do ye aadat chichori
hukum ke aage chalegi nahi
bhagwan tumhari chori
ye mat samjhna ki jag me prabhu
ek tumhi chatur ho akele
tum ho agar duniya ke gru
to ham bhi hai tumhare chele
jitna bhi fenko ya jano prabhu
nahi tutegi prem ki dori
hukum ke aage chalegi nahi
bhagwan tumhari chori
rehna yeh pe sambhalke zara
aaj khatre ka din hai murari
aisa na ho ke uda de yeh
mathe se pagdi tumahri
chal pat sajalo mukut sar pe
natwar na to karo jhakjori
hukum ke aage chalegi nahi
bhagwan tumhari chori
auro ki ankhiya jane na jane
jan gai aankhiya mori
hukum ke aage chalegi nahi
bhagwan tumhari chori