Thumb | Song Heading | Singer | Composer | Lyricist | Actor | Film (Year) | Category |
---|---|---|---|---|---|---|---|
Aye Mere Dil Kahin Aur Chal (By Lata) 4.44 - 113 votes | Lata Mangeshkar | Shankar Jaikishan | Shailendra | Nimmi, Lalita Pawar | Daag (1952) | Sad Songs, Raag Based Songs, Raga - Bhairavi |
Movie | Film Cast | Singer | Lyricist | Composer | Director | Producer | External Links | Video Links |
---|---|---|---|---|---|---|---|---|
Daag (1952) |
Dilip Kumar, Nimmi, Usha Kiran, Leela Mishra, Lalita Pawar, Kanhaiya Lal, Jawahar Kaul, C S Dube, Krishnakant, Laxman | Lata Mangeshkar, Talat Mahmood | Hasrat Jaipuri, Shailendra | Shankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal | Amiya Chakraborty | Amiya Chakraborty | Daag at IMDB Daag at Wikipedia | Daag at YouTube | Daag at YouTube - 2 |
Kya zamana thaa jub log dil ke sachche, Iradon ke pakke, aur jinke makaan
kachchey huwa karte they..gareebi zaroor thii lekin ek dusrey se purkhuloos
muhabbat thi.. logon mein Ikhlaas tha.. sukoon tha.. filmon mein sadgi aur
naghmon mein chashni huwa karti thi.. simple story aur lajawaab adakaari
huwa karti thii. naghme ayse jo bejaan jism mein jaan daal dey..jise sun
kar log sir hilaane par majboor ho jayen.. filmon ko banaane mein, naghmon
mein alfaaz ko sanwarne mein, khubsoorat geet ki takhleek karne mein log
behtar se behtar ki talaash mein apne jee jaan ki baazi laga diya karte
they.. Ab na woh zamaana raha aur na woh log rahey...Kaash.. woh daur
waheen par ruk jata, ya woh daur palat kar dobarah aa jaata. Aaj ke iss
Daur se jee ukta gaya doston.. bus dil se yahi aawaaz nikalti hai " AYE
MERE DIL KAHEEN AUR CHAL.. GHAM KI DUNIYA SE DIL BHAR GYA"