baat niklegi to phir dur talak jayegi
log bewjah udasi ka sabb puchhenge
log bewjah udasi ka sabb puchhenge
ye bhi puchhenge ki tum itni paresan kyun ho
ungliya uthegi sukhe huye balon ki taraf
ik nazar dekhenge gujre huye salon ki taraf
chudiya par bhi kayi tanj kiye jayenge
kanpte hatho pe bhi fikre kase jayenge
log zalim hain har ek baat ka tana denge
log zalim hain har ek baat ka tana denge
baaton baaton me mera zikr le aayenge
unki baaton ka zara sa bhi asar mat lena
warna chehre ke tassur se samjh jayenge
chahe kuchh bhi ho sawalat na karna unse
chahe kuchh bhi ho sawalat na karna unse
mere bare me koi baat na karna unse
baat niklegi to phir dur talak jayegi
@Ehte68 This Nazm has descended from the kalam of Kafeel Azer and Jagjit
Singh gave music and lend his voice to it in 1976 for his first LP album
recorded for HMV.. Regards, Suhanee!