baato baato me baat nikli hai
jisne aurat si shay banai hai
khuda hi bana ke ek din bola
tauba tauba ye to aurat nahi tabahi hai
jaat aurat ki jaat aurat ki aisi buri hai
andar bahar se ha andar bahar se mithi churi hai
jaat aurat ki jaat aurat ki aisi buri ahi
andar bahar se ha andar bahar se mithi churi hai
andar bahar se andar bahar se mithi churi hai
baato baato me baat nikli hai
jisne iss mard ko banaya hai
khuda hi ghabrake ek din bola
tauba tauba maine apna bharam gavaya hai
jaat mardo ki jaat mardo ki aisi buri hai
ram muh me ha ha ram muh me bagal me churi hai
jaat mardo ki aisi buri hai
ram muh me ha ram muh me bagal me churi hai
ram muh me bagal me churi hai
dehne me jo bhole bhale hai tan ke ujle hai man ke kale hain
inki aankho me dubne walo ye zehar ke chalakte pyale hai
aag suraj se mang lete hain dank bicchu se mang lete hain
chubhna kanto se sikh lete hain zahar nagin se mang lete hai
takht ko takhta hote dekha hai badshaho ko rote dekha hai
jinpe maharban ho jaye unki kismat ko sote dekha hai
inke chehre pe sharafat dekhi inki aankho me shararat dekhi
jitni dekhi hai tabahi humne husn walo ki badolat dekhi
inki fitrat me bewafai hai inki rag rag me behayai hai
inki jholi me hai badnami to inke daman me jag hasai hai
koi rustam ho sikandar ho ye ke ho
dara jo bhi fande me fasa inke gaya mara
jaat aurat ki jaat aurat ki aisi buri ahi
andar bahar se ha andar bahar se mithi churi hai
jaat aurat ki jaat aurat ki aisi buri ahi
andar bahar se ha andar bahar se mithi churi hai
andar bahar se andar bahar se mithi churi hai
kon kahta hai bewafa hai hum
bemurkat hai behaya hai ham
sari duniya hai deewai jiski ha khudai ka wo jalwa hai hum
khoon ko dud ye banati hai har karishma ye kar dikhati hai
apne murda pati ke prano ko ladke yamaraj se le aati hai
sirf aurat me hi hai ye shakti peer paigambaro jo janti hai
ye to ek aina hai aina jisme apni hi shakal dikhti hai
kabhi jhasi ki maharani hai kabhi durga kabhi bhawani hai
kahar me ho to fir ye bijli hai pyar me ganga ji ka pani hai
kisne aurat ko ye bazar diya
kisne phulo ko ye hathiyaar diya
hum to pardo me raha karte the
kisne beparda karke maar diya
inki fitrat hi piye dudh piye magar zahar ugle
ye wo bete hai ki khud ma ko bhi nanga kar de
jaat mardo ki jaat mardo ki esi buri hai
ram muh me ha ram muh me bagal me churi hai
ram muh me ha ram muh me bagal me churi hai
yu to kahlati hai kabhi raziya to kabhi sultana
wakt padne par ye chuhe se bhi dar jati hai
chudiyo ka bhi bojh inse uth nahi sakta
ispe dawa hai ki talwaar bhi uthati hai
yu to kahlatik hai chengaze aur halaku ye
sher ka panja bhi hatho se jhatak jate hai
aise aise bhi kai surma dekhe haumne
ek awaz pe aurat ki dabak jate hai
humne mana tumhe husn khuda deta hai
nazo andaz megar kon sikha deta hai
sikh me mada se to sikh ke nahi aate
chahat wali hi kambakht sikha dete hai
mai wo fanakar hu shah ka zamane bhar ke
mere jazbaat ki pehchan bane baithe hai
mere hatho ke tarashe pathar ke sanam
aaj but khane me bhagwan bane baithe hai
chahe farak ho shdak ho ya namruh
wakt ke naam pe jhinjhod diye jate hai
jinme ho jata ahi andaze khudai paida
humne dekha hai wo but tod diye jate hai
kisliye dono me ye takrar hai kyu ki ye takrar to bekar hai
bekar hai bekar hai bekar hai koi chota bada nahi inme
baat ye sola aane sacchi hai koi saccha jhoota nahi inme
is hakikat se is sacchai se jo bhi inkar kare pagal hai
ye agar hai to wo bhi hai jag me varna dono hi na mumkin hai
warna dono hi namumkin hai
are mard na hote to aurat se bhala kya hota
ye na hote to kaha mard bhi paida hote
jaat dono ki jaat dono ki aisi bani hai
ik hai bol han ik hai bol ik ragini hai
zaaat dono ki aisi bani hai
ik hai bol haan ik hai bol ik ragini hai
ik hai bol haan ik hai bol ik ragini hai
ik hai bol haan ik hai bol ik ragini hai
ik hai bol haan ik hai bol ik ragini hai