bam babam babam bam bam
bam babam babam bam bam lahri
babam babam bam bam lahri
lahar lahar nadiyaa gahri
babam babam bam bam lahri
lahar lahar nadiyaa gahri
jivan nadiyaa bahti jaye shaam savere dopahari
babam babam bam bam lahri
lahar lahar nadiyaa gahri
naav chalaa mat masti me tufaano ki basti me
naav chalaa mat masti me tufaano ki basti me
lobh ki maari duniyaa vaale naag hai teri kashti me
iskaa kaata paani na maange
iskaa kaata paani na maange
duniyaa hai itni zahari
babam babam bam bam lahri
lahar lahar nadiyaa gahri
babam babam bam bam lahri
lahar lahar nadiyaa gahri
nafrat se man kyun hai bhara prem se mil insaan zara
nafrat se man kyun hai bhara prem se mil insaan zara
prem ne tujhko janm diya hai prem to hai bhagvaan tera
prem ki bhakti kar le phir tu
prem ki bhakti kar le phir tu
ban dehaati yaa shahari
babam babam bam bam lahri
lahar lahar nadiyaa gahri
babam babam bam bam lahri
lahar lahar nadiyaa gahri
jag ki baate dur ke dhol kaan tere kacche mat khol
jag ki baate dur ke dhol kaan tere kacche mat khol
bas me tere koi baat nahi hai tu kyaa bolegaa mat bol
ho tera kalyaan banaa le
ho tera kalyaan banaa le aatma gungi bahari
babam babam bam bam lahri
lahar lahar nadiyaa gahri
jivan nadiyaa bahti jaye shaam savere dopahari
babam babam bam bam lahri
lahar lahar nadiyaa gahri
Music : Chitragupta Lyrics : Majrooh Sultanpuri Year : 1961 amod mehra