bachpan ki hasin manzil se jab husn gujar ke aaye
dil tanhayi me dhadke sheeshe se najar sharmaye
bachpan ki hasin manzil se jab husn gujar ke aaye
dil tanhayi me dhadke sheeshe se najar sharmaye
to husn batao kya kare vo husn
to husn batao kya kare vo husn
jo husn rahe khwabo me vo husn najar aa jaye
or ishk ki koi hasrat fir bhi na niklne paye
jo husn rahe khwabo me vo husn najar aa jaye
or ishk ki koi hasrat fir bhi na niklne paye
to ishk batao kya kare vo ishk
to ishk batao kya kare vo ishk
jab kali khile gulshan me
bhawre ki najar pad jaye
masum kali se hardam
gale milne ko mandlaaye
jab kali khile gulshan me
bhawre ki najar pad jaye
masum kali se hardam
gale milne ko mandlaaye
to kali batao kya kare vo kali
to kali batao kya kare vo kali
jab khilti kali ki khusbu bhawre
ko khich ke laye
fir bhavra kali ko chume or kaid vahi ho jaye
jab khilti kali ki khusbu bhawre
ko khich ke laye
fir bhavra kali ko chume or kaid vahi ho jaye
to bhavra batao kya kare vo bhavra
to bhavra batao kya kare vo bhavra
jab shamma jale mehfil me or udke patanga aaye
jo aag hai uske dil me us aag me khud jal jaye
jab shamma jale mehfil me or udke patanga aaye
jo aag hai uske dil me us aag me khud jal jaye
to shamma batao kya kare vo shama
to shamma batao kya kare vo shama
jab shamma ki lo thahrake aavaj de parvane ko
is dil ki lagi ka mara kyo aaye na jal jane ko
jab shamma ki lo thahrake aavaj de parvane ko
is dil ki lagi ka mara kyo aaye na jal jane ko
to parvana batao kya kare vo parvana
to parvana batao kya kare vo parvana
*****Realy old songs is meaningful songs. i like old song and actors. old
beauty is real beauty.