badal jayenge tere ashq gohar me
yaha daman ka failana hi kafi hai
juban se kuchh bhi kehne ki jarurat kya
tera is dar pe aa jana hi kafi hai
isliye muraade leke sab aaye hai
mai dil leke aaya hun
muraade leke sab aaye hai
mai dil leke aaya hu
or is dil me tere jalwo tere jalwo
or is dil me tere jalwo ki mehfil leke aaya hu
muraade leke sab aaye hai
mai dil leke aaya hu
tujhko dhundha bhi kiya dile barbad liye
desh pardesh tera mai teri yaad liye
ruth takdir meri kaise tadvir chale
ha gamo ke teer chale kaleja chir chale
he judayi mujhse teri sahi jati hi nahi
haye ashq aaho se bhi ye kahi jati nahi
ashq aaho se bhi ye kahi jati hi nahi
tera didar ho jaye to phir se jaan pad jaye
masiha dar pe tere tera bismil leke aaya hu
masiha masiha masiha ha ha
masiha dar pe tere tera bismil leke aaya hu
muraade leke sab aaye hai
mai dil leke aaya hu
dil se nikli jo dua sabhi khali na gayi
uske sarkar se wo kabhi taali na gayi
utha tu hath utha kubul hogi duaa
sar jhuke ya na jhuke dil ko sajde me jhuka
he chand nazar aaye magar nazar pe parda pada
hai nazar ke samne hi tera mehbub khada
hai nazar ke samne hi tera mehbub khada
na to phulo ki chadar hai na to koi nazrana
agar dil ho tere kadmo ke kabil leke aaya hu
agar dil ho tere kadmo ke kabil leke aaya hu
muraade leke sab aaye hai
mai dil leke aaya hu
or is dil me tere jalwo ki mehfil leke aaya hun
badal jayenge tere ashq gohar me
yaha daman ka failana hi kafi hai
juban se kuchh bhi kehne ki jarurat kya
tera is dar pe aa jana hi kafi hai