bade besharam ladke hai ye aaj ke
bade besharam ladke hai ye aaj ke
inko apna banana gajab ho gaya
bade besharam ladke hai ye aaj ke
inko apna banana gajab ho gaya
dhire dhire kalayi lage thamne
dhire dhire kalayi lage thamne
inko ungli thamana gajab ho gaya
dhire dhire kalayi lage thamne
inko ungli thamana gajab ho gaya
bade besharam ladke hai ye aaj ke
jo ghar me sil pe masala talak na pis sake
unhe ye naaj hai hume khak me milayenge
kalayi dekho to chudi ka bojh sah na sake
aur uspe dava ke talvar hum uthayenge
fareb makr me inka nahi koi saani
ye jisko das le
wo maange na umar bhar pani
bada ajib hai dastur inki mehfil ka
bulaya jata hai ijjat badhai jati hai
phir uske baad wahi katal karke
aashiq ko badi hi dhum se mayiat uthai jati hai
khata humari hai, khata humari hai
jo humne inse pyar kiya
bura kiya jo hasino pe aitbaar kiya
bhul humse huyi inke aashiq bane
bhul humse huyi inke aashiq bane
pass inko bulana gajab ho gaya
bhul humse huyi inke aashiq bane
pass inko bulana gajab ho gaya
thokro me the jab tak to sidhe the ye
thokro me the jab tak to sidhe the ye
inko sar ep bithana gajab ho gaya
thokro me the jab tak to sidhe the ye
inko sar ep bithana gajab ho gaya
thokro me the jab tak to sidhe the ye
hum ladkiyo ko najar se utarne walo
khabar bhi hai tumhe shekhi bagharne walo
isi jamin pe hoti hai aisi ladkiya bhi
jinhone mard ko lalkarne ki himmat ki
pahan ke sar pe dileri ka taaj baithi thi
humare mulk me karne wo raaj baithi thi
jo ye ladki jhuke to dil kya jaan bhi dede
jo sar uthaye to ladko ki jaan bhi lele
agar ye mamta aur pyar hai yahi ladki
jo gusse me aa jaye to talvar hai yahi ladki
teri himmat pe ladki hume naaj hai
teri himmat pe ladki hume naaj hai
tera maidan me aana gajab ho gaya
teri himmat pe ladki hume naaj hai
tera maidan me aana gajab ho gaya
teri himmat pe ladki hume naaj hai
ek din bole farishte karke ye duniya ki sair
ya khuda duniya teri suni hai hai aurat ke begair
uth pade hikmat dikhane ke liye kudrat ke hath
sochle maula ne aurat ko janam dene ki baat
phir zehar nagin se liya
aur saanp se dasna liya
kaatna bichhu se maanga teer se chubhna liya
lomdi se maangli ta umar ki makkariya
makkhiyo se shor aur macchar se ayariya
itni chize jama hoke jab lagi maula ke hath
aur inko sabko milaya jab khuda ne ek sath
dekhkar apni kalakari pe maula hans pada
aur usi anmol shay ka naam ladki rakh diya
rakh chuka jab naam uske baad yu kahne laga
puchho to sahi kya kya kaho, kya
main banakar tujhe khud preshan hu
main banakar tujhe khud preshan hu
tujhko duniya me lana gajab ho gaya
main banakar tujhe khud preshan hu
tujhko duniya me lana gajab ho gaya
main banakar tujhe khud preshan hu
jab mere malik ne socha ladko ko paida kare
sabse pahle ye sawal aaya ki kudart kya kare
li gadhe se akal kaue se sayanapan liya
aur kuch kutte ki dum se tedhapan liya
li gayi girgit se hardam rang badalne ki ada
jisse ladkiyo ko diya karta rahe dhokha sada
leke mitti me masala jab ye milwaya gaya
fark us dam mard ki fidrat me ye paya gaya
mard ke putlo me jis dam jana daudai gayi
usme aurat ki bhi thodi si ada paayi gayi
shakl mardo ki to aadat ke janane ho gaye
kya khuda ne chaha tha kya na jane ho gaye
ban chuka jab mard to malik ne mere yu kaha
kya accha khasa banaya tha maine ise
accha khasa banaya tha maine ise
ban gaya ye janana gajab ho gaya
accha khasa banaya tha maine ise
ban gaya ye janana gajab ho gaya
accha khasa banaya tha maine ise
tu hi karwaye jhagde tu hi karwaye danga
are badmash hai tu aur tu hai lafanga
tera patthar sa hai dil nahi tu bhi raham dil
tu nagin si zehrili tu bichhu sa zehrila
tu nagin si zehrili tu bichhu sa zehrila
teer sa lage hai tu kaante sa chubhe hai tu
na le tu mujhse pange are ja ja ja lafange
narak ka dwar hai tu bada makkar hai tu
meri najro se hat ja teri aukad hai kya
meri najro se hat ja teri aukad hai kya
meri najro se hat ja are ja ja ja ja
hat ja, tu bhi hat ja kha liya
are ha ja bhai ja ja hat are tu hai kya ja ja ja
are ja hat hat hat hat ja