aap bahut der se aaye raja bahadur
abb main dukan band kar chuki hun
hum kisi dukan par nahi aaye dulhaari
tumhare ghar aaye hai
humein baithane ke liye nahi puchhogi
ji aayiye tashrif rakhiye
tum bhi baitho hamare pas
jis dulhari ko aap bula rahe hai
woh to kab ki mar chuki hai raaja bahadur
aur jo aapke samane hai woh to ik chita hai
jo ab tak jal rahi hai, sulag rahi hai
kehate hai chita ko chhedana paap hota hai
khair aap yeh batayiye kya sunenge
aaj tum jo sunaogi hum sunenge
toh phir aap biti suniye, meri kahaani, meri jabaani
badnaam ho gaya dil ha ha ha ha
badnam ho gaya dil, bas aapki badaulat
hamne sajaayi mehfil, bas aapki badaulat
badnam ho gaya dil, bas aapki badaulat
hamne sajaayi mehfil, bas aapki badaulat
badnaam ho gaya dil
humse wafa jo karte, hum kyun yaha pe aate
humse wafa jo karte, hum kyun yaha pe aate
hum bhi the phul ghar ke ghar mein hi muskurate
payi hai kaisi manjil, bas aapki badaulat
badnam ho gaya dil, bas aapki badaulat
hamne sajayi mehfil, bas aapki badaulat
badnam ho gaya dil
hasti mitaayi humne, lekin na aap mane
hasti mitaayi humne, lekin na aap mane
aurat ka pyaar kya hai, sarkaar yeh na jane
saara badan hai bismil, bas aapki badaulat
badnam ho gaya dil, bas aapki badaulat
hamne sajaayi mehfil, bas aapki badaulat
badnam ho gaya dil
hans hanske jal rahe hain, hum apni chandani mein
humne sukun na paaya, do din ki jindagi mein
barbadiya hai shamil, bas aapki badaulat
badnam ho gaya dil, bas aapki badaulat
hamne sajayi mehfil, bas aapki badaulat
badnam ho gaya dil
FILM: "AAN BAAN" = 1972.
Film cast: Rajendra Kumar, Rakhee, Pran, Jagdeep, Kum Kum, Som Dutt,
Kanhaiya Lal, Baby Tabassum, Sunder, Bhagwan, Anwar Hussan, Ram Mohan,
Moolchand, Indu Shivraj
Singer: Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar
Lyricist: Hasrat Jaipuri, Gulshan Bawra
Music Director: Shankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal
Film Director: Prakash Mehra
Film Producer: Malik Chand Kochar