aajao aajao aajao aajao
bahar bitne wali hai, aa bhi ja salma
bahar bitne wali hai
bahar bitne wali hai, aa bhi ja salma
bahar bitne wali hai
milenge hasr me, mat kahiye baar baar mujhe
ho kaise hasr ke, vade pe aitbaar mujhe
khuda ke dil pe, nahi koi akhtiyar mujhe
khuda ko maan yah,i hasr utha bhi ja salma
aa bhi ja meri ja
bahar bitne wali hai, aa bhi ja salma
bahar bitne wali hai
ganwa na sog me apne shabab ki raate
najar na aayengi, phir maahetab ki raate
ye na ho khato ka huzum
aur ke khab ki raate
faza me khab-e-hasi, banke chha bhi ja salma
aa bhi ja meri ja
bahar bitne wali hai, aa bhi ja salma
bahar bitne wali hai
kise khabar ye ghataye, rahe rahe na rahe
ye natohate ye hawaye, rahe rahe na rahe
ye mastiya ye fajaye, rahe rahe na rahe
sharab-e-vasl ka sagar, peela bhi ja salma
aa bhi ja meri ja
bahar bitne wali hai, aa bhi ja salma
bahar bitne wali hai
ghamo pe ki hai fida, shadmaniya humne
khuda ke naam pe tajdi, jawaniya humne
gujar di hai yu hi, zindgani humne
dame akhir ko gham se, chhuda bhi ja salma
aa bhi ja meri ja
bahar bitne wali hai, aa bhi ja salma
bahar bitne wali hai
tu hukum de to sitaro, ko chhin laau main
falak se uspe najro, ko chhin laau main
harem ki mast baharo, ko chhin laau main
brange ruh badan me, sama bhi ja salma
aa bhi ja meri ja
bahar bitne wali hai, aa bhi ja salma
bahar bitne wali hai
bahar bitne wali hai, aa bhi ja salma
bahar bitne wali hai
aajao aajao aajao aajao