bahut dino ki baat hai
fizaa ko yaad bhi nahi
ye baat aaj ki nahi
bahut dino ki baat hai
shabaab par bahaar thi
shabaab par bahaar thi
fizaa bhi khush gawaar thi
na jaane kyu machal pada
main apne ghar se chal pada
kisi ne mujhko rok kar
badi adaa se tok kar
kaha tha laut aaiye
meri kasam na jaiye, na jaiye
par mujhe khabar na thi
maahol par nazar na thi
na jaane kyu machal pada
main apne ghar se chal pada
main chal pada
main shehar se phir aa gaya
khayal tha ke pa gaya
use jo mujhse dur thi
magar meri zarur thi
aur ek hasin shaam ko
main chal pada salaam ko
gali ka rang dekh kar
nayi tarang dekh kar
mujhe badi khushi huyi, khushi huyi
main kuch isi khushi me tha
kisi ne jhaank kar kaha
paraaye ghar se jaaiye
meri kasam na aaiye, na aaiye
wahi haseen sham hai
wahi haseen sham hai
bahar jiska naam hai
chala hun ghar ko chhodkar
na jane jaaunga kidhar
koi nahi jo tok kar
koi nahi jo rok kar kahe
ki laut aaiye
meri kasam na jaaiye
meri kasam na jaaiye
meri kasam na jaaiye
meri kasam na jaaiye
Chala Hoon Ghar Ko Chhodkar; Na Jaane Jaaoonga Kidhar; Koi Nahin Jo Tok
Kar; Koi Nahin Jo Rok Kar; Kahein Ke Laut Aaiye; Meri Qasam Na Jaaiye; Meri
Qasam Naa Jaaiye..