bahut khubsurat hai aankhe tumhari
agar ye kahi muskura de to kya ho
lagi hai yuhi aag dil me tumhare
hum ek or bijli gira de to kya ho
bahut khubsurat hai aankhe tumhari
isharo se chede ke haskar sataye
hasi hai mohabbat ki sari khataye
isharo se chede ke haskar sataye
hasi hai mohabbat ki sari khataye
tumhari khatao ko hum jante hai
khatao se pahle saja de to kya ho
bahut khubsurat hai aankhe tumhari
jo paas aa gaye ho to daman na chuna
kahi shokh dil ka na ho jaye duna
jo paas aa gaye ho to daman na chuna
kahi shokh dil ka na ho jaye duna
mohabbat me ye kaid ye sharat kaisi
koi shart hum bhi laga de to kya ho
lagi hai yuhi aag dil me tumhare
nigaho se chota sa paygam de do
tadapte hue dil ko aaram de do
nigaho se chota sa paygam de do
tadapte hue dil ko aaram de do
abhi se ye alam hai betabiyo ka
jo thoda bahut aasra de to kya ho
bahut khubsurat hai aankhe tumhari
agar ye kahi muskurade to kya ho
One of most beautiful duets of great Rafi Sahib, never heard before. Thank you very much for giving me an opportunity to listen to this duet. So nice of you.