Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Bairan Bani Ye Raina

Video of this song from youtube
Average Rating : 3.50
Total Vote(s) : 2
Please rate this song between 1 and 5 (5 being the best). Your rating will really help us to improve our website.


Lyrics of Bairan Bani Ye Raina - बैरन बनी ये रैना
bairan bani ye raina hai bin tere ab nahi rahna hai
bairan bani ye raina hai bin tere ab nahi rahna hai
mere hotho pe tera naam hai bhare aasuyo se naina hai
dil aag ki aagni jalaye hai teri yaad mujhe sataye hai
dil aag ki aagni jalaye hai teri yaad mujhe sataye hai
tere pyaar mai mere swanra kahi chain na mujhe aaye na
ghadi bhi ek aisi aayengi ghadi bhi ek aisi aayengi
tere chhail kawar ji aayenge ghadi sari beet jayengi
ghadi bhi ek aisi aayengi ghadi bhi ek aisi aayengi
tere sajan jaldi aayege wo tujhko gale lagayege
teri baat na tali jayegi teri baat na tali jayegi
main hu ashiq aawara main aadat se majbur
teri khatir suli chadna mujhko hai manjur
tujh par mera dil aaya main rahe na pau dur re
ek raat ki khatir tere sath ki khatir
ek raat ki khatir tere sath ki khatir
o main huaa masahur
tu kyu sajan se ruthi hai teri aankhiya rukhi rukhi hai
teri chal kamar ka kya kahana wo lakho me hai ek naina

are main bago ki morni or tu jangal ka mor
tere mere pyaar ki na bandh payegi dor
na me tere madhu nagina tu mera chijhor
mere paas aana ye bol jana
mere paas aana ye bol jana
o main chand hu tu chor
o need udi par chain uda hai thara
baate kyu chori bolo ye chhel kumar
ye raj kumar tharo kahe lage gori
ye chand ka tukda tharo hai sajan
aare pyar ka gori aaya hai sawan
thare gaal gulabi thare nain sharabi
tu hai ek tala yu thari chabhi
main hu naina tu hai jyoti kalam hu main tu hai baki
tu hai banshi main hu kanhiya main tarwar tu baki
main hu kaya tu hai chhaya main deepak tu bati re
ek bat hai meri tu samjha wo samjha mein teri
ek bat hai meri tu samjha wo samjha mein teri
kyo nahi ati hai are pyar ka dawa karne wale
sun le meri bat main nagama tu gunga
main patthar tu chattan tera mera milna mushkil
main din hu tu rat kabhi dhara gagan ka
pani se agan ka are dhara mein gagan ka
pani se agan ka ha ho saka na sath

are lakdi jale koyla bhai are koyla jal bhai rakh
main papan aisi jali re koyala bhai na rakh
sun nind udi re thari chain udaya bate hi kya chhori
ye chhail kuwar ye rajkuwar tharo ke lage gori
are thare dil ki mari bahna samjh gaye ham bat
tujhko ishq hua hai chhori jayengi sari rat
pyar ka rog jisko laga hai uska kya hai kahna
bhukh lage nind na aawe sun le mari bahana
pyar mein aisa jadu hai ho jata dil bekabu hai
jo teri chundari udti gayi koi farebi datati nahi
aage pichhe soch le gori warna pachhtayengi
charo tarf lage hai pahre dekh ke ghabrayengi
deewaro se talwaro se tu na bach payengi re
re meri yaad mein rani tu hi ho ke deewani
meri yaad mein rani tu ho ke deewani
re ro ro mar jayengi jab chudi teri khankegi
jab payal teri khankegi tu sawan mein jab aayegi
tu sajan ki ho jayegi tu sajan ki ho jayegi
tere mere pyar ka rishta mujhko hai sawikar
ham dono ka ek tarfa hai maan gayi main har
ek duje ke ho jaye ham chhodo ye takrar
teri padu main payiya meri tham le bayiya
teri padu main payiya meri tham le bayiya
kar le mujhe sawikar
lyrics of song Bairan Bani Ye Raina
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Loh Purush (1999)
Monica Bedi, Dharmendra, Mohan Joshi, Jaya Prada, Mukesh Rishi, Deepak Shirke, Ashish VidyarthiKumar Sanu, Alisha Chinai, Ila Arun, Udit Narayan, Kavita Krishnamurthy, Alka Yagnik Dilip Sen - Sameer SenHersh KinnuKiran ShahiLoh Purush at IMDB      Loh Purush at YouTube    
Popular Links on HindiGeetMala

HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type