bakre wala ye baba hidayat kare
bakre wala ye baba hidayat kare
chandu khane me aana buri bat hai, buri bat hai
aa gaye to baitho ghadi do ghadi
aake yu laut jana buri bat hai
bakre wala ye baba hidayat kare
bakre wala ye baba hidayat kare
chandu khane me aana buri bat hai
bakre wala
chandu khane se aayi hai taja khabar
aaj taja khabar, taja taja khabar
chandu khane se aayi hai taja khabar
ab na aapas me jhagda karenge bashar
jis kabar me koi dam na ho wo khabar
jis kabar me koi dam na ho wo khabar
dum lagake udana buri bat hai
bakre wala ye baba hidayat kare
barabar pio hum barabar pilaye
na tum baj aao na hum baj aaye
barabar pio hum barabar pilaye
na tum baj aao na hum baj aaye
nasha koi bhi nahi aisa is jamane me
ke jo nasib na ho mere chandu khane me
bakre wala ye baba to mashahur hai
are pine wala bhi aadat se majbur hai
tum ko lat, oji punjabi me lat laat ko bolte hai
lekin is lat ka matlab hai aadat
yahi bakre wala baba ka kalam hai
tumko lat pad gayi hai to ye lat kisi
tumko lat pad gayi hai to ye lat kisi
dusre ko lagana buri bat hai
bakre wala ye baba hidayat kare
hoge gumrah to gumsum bhi ho jaoge
hoge gumrah to gumsum bhi ho jaoge
chandu pike aaundhe ho ke so jaoge
chandu pike aaundhe ho ke so jaoge
chandu khane ko hi apna ghar jankar
chandu khane ko hi apna ghar jankar
apne ghar ko na jana buri bat hai
bakre wala ye baba hidayat kare
hai kaun sa daman jo daagdaar nahi
hai kaun sa daman jo daagdaar nahi
hai kaun jispe koi bhi nasha sawar nahi
hai kaun jispe koi bhi nasha sawar nahi
taskeen dil ke waste thoda sa lijiye
hum jaante hai aapse jhela naa jaayega
thoda lete ho lo tazurbe ke liye
thoda lete ho lo tazurbe ke liye
warna pina pilana buri bat hai
bakre wala ye baba hidayat kare
abhi umar hai kam, masum hai ye
itna na pila ke ye aa na sake
aa jaye to inko aise fasa
kahi dur ye tujhse ja na sake
bakre wala ye baba hidayat kare
are chandu khane me aana buri bat hai
aa gaye to baitho ghadi do ghadi
aake yu laut jana buri bat hai
ye to meri nasihat thi
or agar tum log nahi maanoge
to phir mera dawa suno
bakre wale baba ka dawa, suno gaur se
kabhi tumko rakhunga makkhi bnanakar
kabhi main udaunga machhar banakar
yahi par gutar gu, gutar gu karoge
rakhunga mai tumko kabutar banakar
ye hai mere dawa ho mere dawa
bakre wala baba ho tera dawa
ye hai mere dawa ho mere dawa
bakre wala baba ho tera dawa
jo ho accha khasa to bimar kar du
tujhe jindagi bhar ko bekar kar du
are bujurgo ne jo jindagi ki dua di
wo rah jayegi chandu khaane me aadhi
ye hai mere dawa ho mere dawa
bakre wala baba ho tera dawa
ye hai mere dawa ho mere dawa
bakre wala baba ho tera dawa
baitha rahega jaise ullu ho kat ka
aye na mere ghar ka rahega na ghat ka
ye hai mere dawa ho mere dawa
bakre wala baba ho tera dawa
ye hai mere dawa ho mere dawa
bakre wala baba ho tera dawa
mod kar muh jamane ki raftar se
are jindagi aa mere sath chhod de
tujhko itna jahrila bana dunga mai
saanp ko kat le saanp dum tod de
Le bhai u0loader tere bachche jeeyein hazaro saal...1996 mein jab main
class 5 mein tha tab main cricket khel ke wapas ghar aya toh yeh gaana EL
TV pe suna tha.. (us zamane mein EL TV hoti thi agar kisi ko yaad ho
toh)...us din ke baad maine bahutvintezaar kiya ki shaayad yeh gaana dobara
kahin mujhe mil jaaye...zamana ghuzar gaya main bachche se 29 saal ka
jawaan ho gaya aur aaj Montreal mein baithkar 30 july 2015 mein gaana mujhe
mil hi gaya..aapko dheron ashirwaad.