Lyrics of Balak Jaisa Rup Liye (Vaaman Avatar) - बालक कैसा रूप लीये, प्रकट भये सुकुमार
balak jaisa rup liye, prakat bhaye sukumar
bhakat ke ghar bhagwan chale
le vrahman ka awtar
danaw pati bali ko tha bada
dan pe abhiman
uski pariksha lene chale
yachak ban kar bhagwan
yachak ban kar bhagwan
bali ne balak se pucha
bolo kya icha aapki
vrahman bola jagah chahiye
teen kadam ke maap ki
teen kadam, teen kadam, teen kadam
bali hue tyar lekin
shri shukracharya ne jaan liya
waman ka ye rup liye
shri vishnu ko pahchan liya
suksham rup dhar shukracharya bhi
suksham rup dhar shukracharya bhi
bich kamandal sama gaye
vrahman ke tinke se apne
nayan ke jyoti gawa gaye
vrahman ke tinke se apne
nayan ke jyoti gawa gaye
pahle pag se dharti mapi
duje pag se gagan liya
pahle pag se dharti mapi
duje pag se gagan liya
??? tije
bali ne bhi mastak jhuka diya
bali gaya paatal
devgan dete hai aashish
jai dwarkadhish
dharti par jab badha adharm
ashuro ka atyachar
dhanush baan le haath prabhu ne
liya raam avtaar, liya raam avtaar
mili raah me dusht taadka
maayavi vikraal, maayavi vikraal
jiske maya jaal se aaya
andhi ka bhaunchal, andhi ka bhaunchal
bada bhayanak rup hain uska
karne vikat chitkaar
karne vikat chitkaar
?? ek haath se
karna chaha prhaar
karna chaha prhaar
vishvaamitr ne ek paanv se
uska haath dabaya
uska haath dabaya
prabhu ram ne ek baan se
uska kiya safaya, uska kiya safaya
uska kiya safaya, uska kiya safaya
padi raah me gautam naari
shila bani lachar
prabhu ne sharan kamal ki raj se
usaka kiya uddhaar
ahilaya ka kiya uddhar
jai ho bhakto ke uddharak
jai jai he jagdhish
jai dwarkadhish
rishi muniyon ke dharm yagy ki
raksha ko taiyaar, raksha ko taiyaar
prabhu ram hain khade lakhan sang
ban kar pahredaar, ban kar pahredaar
ban kar pahredaar
do raakshas maarich subaau
vighan rahe the daal,vighan rahe the daal
prabhu ram ke kaaran unki
vifal ho gayi chaal, vifal ho gayi chaal
mayachakr banaya jo hain
vighno ka upchaar, vighno ka upchaar
jiske niche rishi-muni baithe
karte mantrochaar, karte mantrochaar
chala haath me baan dhanush par
prabhu ne di jhankaar, prabhu ne di jhankaar
dono rakshso ka prabhu ne
pal me kiya sanghaar, pal me kiya sanghaar
pal me kiya sanghaar