beadab bemulahiza hoshiyaar
shahenshah-e-chinch pokli
alampanahe boriwali
macha de khalbali
sadak chhap gali gali
dono ki sawaari chali chali chali
are re ruk ruk ruk ruk are
do shero ki chali sawaari
gali gali ye dhoom machane
hat pade tu aade tirchhe
aaye hai hum do deewane
main deewana tu deewana
saara jahaan deewana
jahan laga de lag jaata hai
apna sahi nishana
bolo balle balle yaa yaa yaa
balle balle yaa yaa yaa
balle balle
har chaalu ki chaal bhula de
chala chala ke chakkar
bade bade chakkar dhaari ko
bana diya ghanchakkar
bolo balle balle yaa yaa yaa
balle balle yaa yaa yaa
yahi hai right choice baby
baaho mein aaja mere dil mein sama ja
boom sakalaka bolo boom sakala
sab raam shaam ka hai chakkar
tu bhi actor mein bhi actor
iski topi uske sar uski topi iske sar par
ikka dukka ho ya koi chhakka satta attah
har patte ko pal mein bana de
hum ullu ka patta
bolo balle balle yaa yaa yaa
balle balle yaa yaa yaa
sab dhundhte reh jaaoge
ge ge gere saaiba, ge ge gere saaiba
ge ge gere saaiba, ge ge gere saaiba
main peeta peeta aaya hoon
botal se aaj nahaya hoon
main peeta peeta aaya hoon
botal se aaj nahaya hoon
ye sar pe chadhti jaayegi
ye tujhko dhul chatayegi
peeunga aur peelaunga, botal ka saara paani
are paani paani paani
tu to pee gaya re saara paani
balle balle yaa yaa yaa
balle balle yaa yaa yaa
ye sab ander ki baat hai
ek chatur naar, meetha anaar
chitvat hai yaar, mohe baar baar
kare pyaar yaar, ek chatur naar
zara palat palat mukhda to dikha
zara dekh chhata zulfe to hata
mujhko tu bata de apna pata
main shaam hun o meri shaamlata
ishq ladana chhod de puttar, ishq hai juaan satta
shaam teri ye shaamlata, baitha degi tera bhatta
ho jaisi bhi ho chalegi, kyaa bola
aisi phir na milegi, phir bola
tere bheje mein to bhara hua hai gobar bhusa
chupkar warna main dunga pagwaade wala ghusa
bolo balle balle yaa yaa yaa
balle balle yaa yaa yaa
ye kyaa haal bana rakha hai kuch lete kyu nahi
kya band botal sara idhar gardan kamar
lachka ke khadi hai, waah kya scene hai
o amma dekh ha dekh ye munda bigda jaaye
alaa dekh ha dekh ye mere pichhe aaye
o champa dekh ha dekh ye tere pichhe aaye
aa tu bhi aa aa kyun humse tu sharmaye
are ye to thoda thulthul hai jaisa mota hai bandar
mujhko tu pyaara laage jo apna dharmendar
dharmendar pyaara naaji, jaise ghani chhuaara haaji
ye bhi hai achha naaji, hai mard ka baccha haaji
jab bhi koi chikna dekhe, ye dil ho deewana bole
haule haule haule, haule haule haule
dekh ke tujhko haay humre dil ki ghanti bole
haule haule haule, haule haule haule
ye somvaar ka hanji, ye mangalvaar ka hanji
ye budhvaar ka hanji, ye veer vaar ka hanji
ye sukarvaara hanji, ye sanivaara hanji
are ravivaar chutti ka din hai haath na koi lagana
us din raam shyaam japna aur dhol bajaate jana
ho kaskar haath pakad lo bhaiya, ho lo raffuchakkar
in sab ke chakkar mein hum ban jaaye na ghanchakkar
bolo balle balle yaa yaa yaa
balle balle yaa yaa yaa
balle balle yaa yaa yaa
balle balle yaa yaa yaa
balle balle yaa yaa yaa, balle balle