bata ae aasman mai ab jau kaha
mujhe jine nahi deta tera zalim jaha
bata ae aasman mai ab jau kaha
mujhe jine nahi deta tera zalim jaha
bata aye aasma
khushi ki chhav mangi gam ka dera hi mila mujhko
khushi ki chhav mangi gam ka dera hi mila mujhko
ujale ki tamanna ki andhera hi mila mujhko
bhatakta hi rahega kya ye mera karva
mujhe jine nahi deta tera zalim jaha
bata ae aasman mai ab jau kaha
mujhe jine nahi deta tera zalim jaha
bata aye aasma
hajaro dukh utha dale nahi shikve kiye maine
hajaro dukh utha dale nahi shikve kiye maine
bahut aaho ko roka hai bahut aansu piye maine
sitam lakho sahe phir bhi nahi khali zaba
mujhe jine nahi deta tera zalim jaha
bata ae aasman mai ab jau kaha
mujhe jine nahi deta tera zalim jaha
bata aye aasma
barasti hai ghata gam ki mere arman jalte hai
barasti hai ghata gam ki mere arman jalte hai
teri rahmat ke saye me tere insan jalte hai
kahi aandhi kahi tufa kahi par bijliya
mujhe jine nahi deta tera zalim jaha
bata ae aasman mai ab jau kaha
mujhe jine nahi deta tera zalim jaha
bata aye aasma
Very nice song by Asha Dee. Thanks