sadiyo se sada deti rahi hawao ki beti
koi nahi sunta magar mazlum ki fariyad
bazar me baithi aurat ko apna le koi dastur nahi
hum sita jhulekha kaise bane kuch logo ko manjur nahi
manjur nahi bazar me baithi aurat ko
aurat ki pnaho me aksar mardo ko khushi mil jati hai
aurat ki pnaho me aksar mardo ko khushi mil jati hai
mardo ki pnaho me lekin aurat ab tak masrur nahi
masrur nahi bazar me baithi aurat ko
kya kahte hai kya karte hai kya kahte hai kya karte hai
kuch inki zuba ka pas nahi ye chahe kisi par zulm kare
ye log kahi mazbur nahi mazbur nahi
bazar me baithi aurat ko apna le koi dastur nahi
hum sita jhulekha kaise bane kuch logo ko manjur nahi
manjur nahi bazar me baithi aurat ko
ye dino dharam ke rakhwale ye andhe smazo ke malik
apne matlab ke diwane ye jhute riwazo ke malik
kab apni ijat ki tarha aurat ki ijat samjhenge
aurat to ghar ki jinat hai kab uski azmat samjhenge
kab uski azmat samjhenge kab uski azmat samjhenge