bite dino ki yaad satati hain aaj bhi 
bite dino ki yaad satati hain aaj bhi 
kya wo zamane phir kabhi wapas na aayenge 
kya hum tamaam umar yun hi roye jayenge 
bite dino ki yaad satati hain aaj bhi 
jab ishq par bahaar thi wo din kidhar gaye
dil tutne se pahle hi hum kyu na mar gaye 
ab kya raha hamare is dayaar mein 
aansu bhi khtam ho gaye pyar mein 
aankho se dil ka khoon kaha tak bahayenge 
kya hum tamaam umar yun hi roye jayenge 
bite dino ki yaad satati hain aaj bhi 
bite dino ki yaad satati hain aaj bhi 
kya wo zamane phir kabhi wapas na aayenge 
kya hum tamaam umar yun hi roye jayenge 
bite dino ki yaad satati hain aaj bhi 
najdik tumse jane wafa hum hain aaj bhi 
hai sirf darmiyan mein diware jindagi
ye parda uth gaya to hume ishq ki kasam 
dil ko yakeen hai tumhe paa hi lenge hum 
phir apni daastan ko haqikat banayenge 
bite dino ki yaad satati hain aaj bhi 
bite dino ki yaad satati hain aaj bhi 
kya wo zamane phir kabhi wapas na aayenge 
kya hum tamaam umar yun hi roye jayenge 
bite dino ki yaad satati hain aaj bhi 
