tu dhokha hai gumrah akela
tu dard hai ya koi ghaav gehra
tu parchhayee behti hawa ki
dhalta sooraj ya ghor andhera
teri kahani ankahi, jaise patte murjhaye se
toh ruk ja tu kahi, tu behta kyu hai aise
jaise behti bunden, behta aise
behti bunden
aankhen khuli, khwabon se
aur bikhre taare, aangan me
koi savera, chhupa hai
jaise andhera, raaton me
teri kahani ankahi, jaise patte murjhaye se
toh ruk ja tu kahi, tu behta kyu hai aise
jaise behti bunden, behta aise
behti bunden
teri yaadein khoyi nahi
aur saari baaten khoyi nahi
aur saare taare tere liye hai
aur saare baadal bhi tere liye!