he krishna karuna sindhu
din bandhu jagatpati
gopesh gopikakant
radha kant namastute
bolo bhagwan shree krishan ki jai
param pita parmatma ki jai
bhagwan ka ye mandir, bhagwan ka mandir
bhagwan ka ye mandir, bhagwan ka mandir
soch samaj ke bolo bhaiya
jana hai kidhar
gyan ka ye mandir hai, ye gyan ka mandir
gyan ka ye mandir hai, ye gyan ka mandir
soch samaj ke bolo bhaiya, jana hai kidhar
bhagwan ka ye mandir, bhagwan ka mandir
gyan ka ye mandir hai, ye gyan ka mandir
bechate hai bhagwan ko ye
bhakto ko lutke khate hai
swarg ka lobh dikhate hai
ghar apna bharte jate hai
o nark se tumhe darate hai
are khud ye paap kamate hai
bhagwan ka ye mandir, bhagwan ka mandir
talim aaj kal ki kya hai
bas clerk bana pati hai
apna watan chhudati hai
pardesh mein bhatkati hai
bhakti basaye ghar ko
aur talim chhudaye ghar
gyan ka ye mandir hai, ye gyan ka mandir
bhagwan ka ye mandir, bhagwan ka mandir
soch samaj ke bolo bhaiya
jana hai kidhar
gyan ka ye mandir hai, ye gyan ka mandir
bhagwan ka ye mandir, bhagwan ka mandir
bina gyan ke manav kaise
chand pe jaa sakta tha
kripa na hoti ishwar ki
kya laut ke aa sakta tha
bhakti hi deti hai manav ko, har kaam ki shakti
are bhakti se hi kaise mil, sakti hai bhukh se mukti
geeta ka updes diya, aur ki ishwar ne bhalai
ishwar ne bhi krishan ke roop mein
guru se vidhya payi
vidhya payi, vidhya payi, vidhya payi
guru se vidhya payi, guru se vidhya payi
guru se vidhya payi, guru se vidhya payi
guru se vidhya payi, guru se vidhya payi
guru se vidhya payi, guru se vidhya payi
guru se vidhya payi, guru se vidhya payi