bhagwaan ne janam diya manav ko
aur shakti ka daan diya
shakti badha kar manav ne
khud me paida abhiman kiya
ek din aaya yaha nepoliyan
dhaak se jiska jagat tharra utha
ek din aaya sikndar garjta
gunjta gata gagan ko chirta
yaad hai ek ladka kya tufaan tha
jiske pahale ? ke dam kiya
jis abhiman karan nar ne
prbhu banne ka jatan kiya
bade bade tana shaho ka
is abhiman n epatan kiya
ye to hain wo desh ke
jinko shakti par abhiman
ab dekho bharat ke
jisko bhakti par hi man hain
bharat bhumi mahan, shnto ki hain khan
hinsa ke agyan andhero me thi
jab duniya soti
mahveer swami soti
le saty ahinsa ki jyoti
om namha ari hantanam
ahinsa parmo dharma
ahinsa parmo dharma
hinsak nar pashuo se jab tha
bhara huaa sansaar
daya murti bhagwan buddh ne
liya yai avtar
buddham sharan gachhami
bhum bhum gachhami
sangam sharan gachhami
das bani jab sabki atama
mita aatm samman
prkat huye bapu mahatma
gandhi ban bhagwaan
raghupati raghav raja ram
patitpavan sita ram
ishwar allah tero naam
sabko sanmat de bhagwan
raghupati raghav raja ram
patitpavan sita ram
ye jhanki to dekh chuke
ab kuchh yug pichhe laut chalo
sant sheromani tukaram ki
katha suno aur phulo phalo