Lyrics of Bhari Mahafil Hai, Ye Afasana Nahin Hai - भरी महफ़िल है ये अफ़साना नहीं है
bhari mahfil hai aur ab rang par
mahfil bhi aayi hai
uthi hai huq bhi dil se to dil hi me dabayi hai
magar jab dil dukhaya hai to lab tak baat aayi hai
ye afsana nahi aye sunnevalo dil ki baate hai
siyahi gam ki hai vaise badi rangin rate hai
ye afsana nahi hai
hai gustakhi magar kahna hai
kuch duniya se mardo se
sharifo manchalo mullaho se avaragardo se
hai beparda magar taane diye jate hai pardo se
ye afsana nahi hai
ye jo kotho ki mallika hai ye jo kucho ki rani hai
jo padh sakte ho padh lo ye tumhari hi kahani hai
samaj-o-kaum ki beabruyi ki nishani hai
ye afsana nahi hai
jo sach pucho tumhi mardo ne ye kothe sajaye hai
hasi bazar tumne apne hatho se lagaye hai
tumhari hi badaulat ham bhi is mahfil me aaye hai
ye afsana nahi hai
tum apni biwiyo ko chhod kar kotho pe jate ho
tum apni biwiyo ko chhod kar kotho pe jate ho
tum apne ghar ki daulat ko waha jakar lutate ho
khushamadi naaz baldari pe tum jyoti bhi khate ho
khushamadi naaz baldari pe tum jyoti bhi khate ho
ye afsana nahi hai
jo samjho thap tabley ki to
ye muh par tamache hai
jo samjho thap tabley ki to
ye muh par tamache hai
ye sarangi ke taro par dilo ke taar bajte hai
yaha insaniyat khud nachti hai ham nachate hai
ye afsana nahi hai
arey o zindagi ke thekedaro kuch to sharmao
uthakar husn ka baazar apne ghar me le jao
arey o zindagi ke thekedaro kuch to sharmao
uthakar husn ka baazar apne ghar me le jao
sahara do sahara do aur
inko ma behen beti kehelwao
sahara do sahara do aur
inko ma behen beti kehelwao
ye afsana nahi hai
ye afsana nahi aye sunnevalo dil ki baate hai
siyahi gam ki hai vaise badi rangin rate hai
ye afsana nahi hai
Film cast: Ajit, Jay Shree T, Veena, Lalita Pawar, Kumar, Balam, Adeeb,
Anwari, Jayashree Gadkar, Krishnakant, Mirza Musharraf
Singer: Asha Bhosle, Hemant Kumar, Lata Mangeshkar
Lyricist: Kamil Rashid, Khumar Barabankvi, S.H. Bihari, Sarvar
Music Director: Ravi
Film Director: S M Yusuf