Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Bhari Sabha Me Ram Bhakt Ki
4.67 - 3 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Bhari Sabha Me Ram Bhakt Ki - भरी सभा में राम भक्त की
bhari sabha me ram bhakt ki hoti aaj hasaayi
bhakt dare kyu duniya se jab ram hai uske sahaayi
mahima aparampaar raam ki mahima aparampaar
mahima aparampaar raam ki mahima aparampaar
jab jab sunte karun pukaar aate pal me karuna dhaar
raam ki mahima aparampaar
baalpane me vishwamitra ke saath chale raghuraayi
ek teer se maar giraya jabhi taarka aayi
rakhwaale ban gaye kripalu yagya bhumi ke dwar
raam ki mahima aparampaar
mahima aparampaar raam ki mahima aparampaar

pathar bankar padi ahilya, shraap pati ka paya
dinbandhu ne charan dhul se uska shraap mitaya
sati ahilya ko bhagwan ne, pal me diya ubaar
raam ki mahima aparampaar
mahima aparampaar raam ki mahima aparampaar

jab hua seeta swyamvar dur se aaye dhanurdhar
haarkar baithe sabhi shiv ke dhanush ko chhod ke
akad me lankesh aaya dhanush usse uth na paya
ram ne tab rakh diya pal me dhanush ko tod ke
magan ho gayi mithala nagri, magan ho gayi mithala nagri
hui suman bauchhar, raam ki mahima aparampaar
mahima aparampaar raam ki mahima aparampaar

bholi bholi sabri ne chakh chakh kar ber jhuthaye
ber prem ke ber ber shri raam chandra ne khaaye
bhole bhagwan bhed bhaav ka karte kaha vichaar
raam ki mahima aparampaar
bhakto ke rakhwaale bhagwan meri aan nibhaao
bhakto ke rakhwaale bhagwan meri aan nibhaao
man mandir ke swaami mere man me darash dikhaao
man me darash dikhaao jay jay jay shri raam

o o raghupati raaghav raja ram, patit paavan sita ram
raghupati raaghav raja ram, patit paavan sita ram

lyrics of song Bhari Sabha Me Ram Bhakt Ki
Comments on song "Bhari Sabha Me Ram Bhakt Ki"
amit160580 on Saturday, January 12, 2013
Itna sundar bhajan upload karne ke liye aapko koti koti Pranam aur
dhanyawad.. Jai SiyaRam
Mohan Udiavar on Sunday, May 29, 2011
THANKS A LOT FOR THE BEAUTIFUL SONG AND BHAJAN.
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Hanuman Chalisa (1969)
Mahipal, Anita GuhaGeeta Dutt, Manna Dey, Mohammed Rafi, Sudha MalhotraAdarshBasantHanuman Chalisa at IMDB      
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type